Radha Soami Satsang Beas
Plz tell me
Posts  1 - 3  of  3
Ishan
Radha swami ji,
Kuch Aise qus. jo bhut hi tang kar rahe hai. Kaha jata hai ki hamein
sirf ek ki bakhti karni hai us malik ki. but humne kabhi us malik ko
nahi dekha hai to phir kise yaad kiya jai .
Dusri taraf kaha jata hai ki parmpita parmatma khud hi
insaan ke jame me Guru ka roop dharan karke hamare samne aa jata hai.
Ab wo Guru kon ho sakta hai Duniya me inki sankha bhut jyada ho chuki
hai kaise search kiya ja sakta hai ek sache Guru ko .
Ek taraf Koi Ram Naam , koi sai naam To koi radhe radhe
ki bhakti me laga hua hai. Ram , Sai , Krishan Koon hai ye .
Kya inki bhakti karna sahi hai ya phir log aapna time to
waist nahi kar rahe hai. mera matlab Dehdhari Guru se hai Jaisa Ki
Baba Ji Farmate hai ki ek dhedhari Guru hi Hamein Us parmpita parmatma
se mila sakta hai. kya Ram , Krishan , Or Sai hamare Guru ban Sakte
hai Ya phir Ye sabhi hamein karamkand me uljhane ke liye hai . Aaj se
kai saal phle inko kisine dekha hoga but aaj log aapne dekha hoga ki
kaise jap tap, pooja path or Vart rakh kar aapne man ko samjha rahe
hai, Ye sabh karke wo duniyadari me to tarkki pa hi lenge or rahi
santmat ki baat ( Mukti ) Wo inko shayd hi mil paye .
aap bhi jante ho ki Baba ji ne Hamein kya samjaya hai ki
mandiro me jane se , jap tap karne se , or vart rakh lene se kuch nahi
banna. iske bawjud bhi kuch aise satsangi bhi hai jinko naamdaan mil
kai saal ho chuke hai lekin wo phir bhi Baba ji ke nirdeso par nahi
chal rahe hai or karmkando me uljhe hue hai . Ek taraf to ye badi badi
bate karte hai ki unhe Baba ji par bhut wishwas hai Par jab bari aati
to yahi sabse aage hote hai sai ya phir krishan ki palki me matka
uthane me. Ab batao kya ye sab thik hai . Kyu dhoka dene ki kosish
karte ye Baba ji Ko. Kyu nahi sochte ye kitna dukh hai inke aise karne
par Baba Ji Ko. Kya chahiye Baba ji ko hamse Sirf wishwas or kuch bhi
nahi per hum wo bhi nahi de sakte hai unko. or jab mangne ki bari aati
hai pata nahi kya kya mang baithte hai aisa haal hai hamara.
So , friend kya sahi hai ya
kya galat ye hum nahi jante kyuki ek andhe ko rasta sirf aankh wala
hi dikha sakta hai . so plz reply ur Sugesstion
Save
Cancel
Reply
replied to:  Ishan
dharamveer
Replied to:  Radha swami ji, Kuch Aise qus. jo bhut hi tang kar...
Radha soami ji, i fully agreed with u
Save
Cancel
Reply
replied to:  Ishan
manilehri2
Replied to:  Radha swami ji, Kuch Aise qus. jo bhut hi tang kar...
Aapney bilkul sahi kha,parmatma ka dyaan bina dekhey kaisey kiya ja skta hai ,aur yeh b sahi kha ki us parmatma ko kaise search kru jo dehdhari hai jo khud parmatma hai jisse milney se aapki mukti ho jaye aur woh us parmatma ko aapkey andar dikha de ,,aaj parmtma ki aap per kirpa huyi hai ,,mai aapko us guru ki pehchan bta deta hoon jo parmatma hai ,,guru nanak dev ji ne gurbani mein batayi thi ,satguru purakh wakahalya mere mastak tarkey hath jeyo ,,,mtlb guru wahi hai jo aapkey sar ke upar hath rakh ke us shakti ke darshan krwa de,us parmatma ka ropp hai parkaash ,sab mein jyot jyot hai soyi ,tisdey chanan sab mein chanan hoyi ,gur sakhi jyot pargat hoyi ,,yeh hai guru ki pehchan ,jo us jyot ke darshan krwa de,koyi naam na de japney ke liye ,,darshan krwaye batein hi na krta rhey parmatma ki khali,haan mainey us parmatma ke darshan kiye hain ,mai b aise guru ki talaash mein tha ,aisey guru ko mai janta hoon jo parmatma ke darshan krwa skta hai aur sach batao tou woh parmatma hi hai ,jiska msg aaj aap ko mil rha hai ,,guru ji ka naam hai ashu tosh mahraj ji ,,agr aap us gyaan ko lena chahtey ho tou mujhey batana ,
Save
Cancel
Reply
 
x
OK