Radha Soami Satsang Beas
Posts  1 - 50  of  50
rajeevanand1
rajeevanand1
06/05/13RADHA SOAMI JI
(1) Agar hum kisi bhi satsangi ya non satsangi ke yahan chaye pete hai ya kuchh bhi khate hain,to kya uska hamara karam banega,wo humne karam utara ya chadaya.
yadi haan, to suna hai ki iss yoni mein hum purana karza chukane or bhogne ate hain.aur yeh bhi kaha jata hai ki dane 2 par likah hai khane wale ka naam.

(2) Agar hamne koi sahi kam kiya hai, uske bad bhi hame koi kuchh kehta hai to kya palat kar jawab ya samjhane ki koshish karni chaiye ya chupp rehkar jo kahe sun lena chahiye.
kyonki GEETA mein kaha gaya hai ki anyay karne wala bhi utna hi doshi jitna ki anyay sehne wala.

(3)hamari kismat(DHUR DHAM se jo likha hai) wo hamein milkar hi rahega chahe hum mange ya na mange.
yadi haan to kya uske pichhe humein bhagna chaiye ya nahi. kyonki kehte hai ki bina prayas kiye kuchh hasil nahin hota.

KRIPYA IN PRASHNO KE ANSWER DE DIJIYE
Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
0027
Replied to:  rajeevanand1 06/05/13RADHA SOAMI JI (1) Agar hum kisi bhi...
TRY TO UNDERSTAND KARMA PHILOSOPHY FOR TAKING DECISION BY SELF ONLY.

1. NONE COULD UNDERSTAND THE THEME OR CONTENTS OF ANY MOVIE PERFECTLY, BY VIEWING THE MOVIE FROM INTERVAL OR FROM THE MIDDLE.

2. SO, IF ONE’S KARMAS COME WITH HIM AT THE TIME OF BIRTH FROM HIS PREVIOUS LIVES, THEN WHAT IS ONE’S KARMAS ACCOUNT AT THE TIME OF FIRST BIRTH OF ANY SOUL.EVERY SOUL MUST HAVE BEGUN THIS JOURNEY WITH A ZERO KARMA ACCOUNT, WHILE TAKING FIRST BIRTH. THEN WHY AND HOW GOOD AND BAD KARMA ACCOUNT GOT CREATED AND GOT ACCOMULATED IN EVERYONE’S ACCOUNT.

3. FURTHER ACCORDING TO KARMA PHILOSOPHY, GOOD AND BAD KARMAS KEEP ON PILING IN SEPARATE ACCOUNTS AND GOOD KARMAS ARE REWARDED WHEREAS BAD KARMAS CAUSE PAINS WITHOUT ANY ADJUSTMENT IN THESE TWO DIFFERENT ACCOUNTS. BUT NONE COULD FIND PERFECT/UNDISPUTED DEFINITION OF GOOD AND BAD KARMAS TILL TODAY. RATHER IT IS CLAIMED THAT GOD NEVER SITS IN JUDGEMENT, SINCE HE NEVER PRESCRIBED ANY SUCH DEFINITION OF GOOD AND BAD.IN THIS REGARDS SOME POET SAID,

“SANSAAR SE BHAGE PHIRTE HO BHAGWAN KO TUM KYA PAO GE!
YEH PAAP HAI KYA AUR PUNYA HAI KYA, REETON PAR DHARM KEE MOHREN HAIN !
YUG YUG MEIN BADLTE DHRMON KO KAISE ADARSH BANAO GE !!

SO, INVIEW OF THIS EXPLAINATION, ONE NEEDS TO LAY MORE IMPORTANCE ON SERVICE TO HUMANITY, INCLUDING FAMILY AND PARENTS RATHER THAN SPIRITUALITY BY GETTING SCARED THROUGH RELIGIOUS PANDITS/GURUS.
Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
resonable
Replied to:  rajeevanand1 06/05/13RADHA SOAMI JI (1) Agar hum kisi bhi...
As per The books:

1. Bhai ji ek saakhi mein suna tha ki : ek baar kisi ne babaji se question kra ki main business conferences mein jata hu, jo bhi attend krta hai usse wahan diary aur pen milta hai note krne ke liye, lekin bohot baar aisa hota hai ki pen aur diary main apne saath le ata hu...to kya iska bhi karam chadhega? Babaji replied...Beta ji ek ek paise ka hisab dena padta hai upar jake... ek khet se dusre ke khet mein agar ek ann ka tukda bhi udd ke chala jaye aur vo apne kha lia to uska bhi hisab dena padta hai.....

YE sab kaal ki rachna hai....uske kaide kanoon aur niyam ko sirf wohi todd kar nikal sakta hai jise Puran Guru se milap hua ho.


2. bhai iss baat ka jawab iss Forum se acha kahin nahi milega....jitna dusre ko samjhane ki koshish karoge vo utna hi apni buddhi anusar tumhe galat bataega...haan agar thoda doordrashti ho aur tark vitark krne mein samarth ho to shayad baat samjhe...lekin paramarth ko samjhna mushkil nahi jabtak rudhivaadi soch na khatam kari jae.

3. apme sahi kaha...kismat mein jitna likha hai utna hi milega..usse na kam na jyada. dekho mehnat karne par hi hame hamari kisat ka milega....uske peeche bhagne se kya hoga? har cheez ka samay pehele se set kia hua hai....
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  As per The books: 1. Bhai ji ek saakhi mein...
...lekin paramarth ko samjhna mushkil nahi jabtak rudhivaadi soch na khatam kari jae.
aap ne bhot aacha likha
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  As per The books: 1. Bhai ji ek saakhi mein...
...lekin paramarth ko samjhna mushkil nahi jabtak rudhivaadi soch na khatam kari jae.
aap ne bhot aacha likha
kismat mein jitna likha hai utna hi milega..usse na kam na jyada.

pr is bat se main sahmat nahi kyo ke bani me aata hai

masa ghte(less) na till bhde(more)
vidhna lekhe ji lekh
sacha satgur met ke
uupar mar de mekh

satguru jo chave so krhe
14 cot doot yam drhe
sacha satgur hmare pap krm ko kat deta hai jo hmri kismat me the
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  ...lekin paramarth ko samjhna mushkil nahi jabtak rudhivaadi soch na khatam...
Bhai satguru agar hamare paap-karam ko kaat dete to kya insaan iss shareer aur duniya se turant mukti na pa leta?

jab karam nahi rahenge to hamari atma to pavitra hogai aur dhur dhaam jane ke layak hogai...to fir ek bhi pal hamari atma in duniya mein nahi tikni chiaye...haina??

but aisa nahi hai!

Satguru hame karamo ko sehne aur kaatne ki himmat dete hain...vishwas paida karte hain jisse ham karam bhogte waqt nirbal na hoajye....kabhi bhaari karam samne aye to apne hosh na kho dein....jiss jeev ka satguru se milaap na hua ho usko dekha hai apne kabhi? jo murti puja ya karamkaand mein vishwas rakhte hain....unke samne 1 dukh kya ajae....behaal hokar atma-hatya karne chal padte hain...ye hota hai guru ke saath ka vishwas aur unki daya ka pari-naam...ki bade se bada karam bhogte samay bas paramtma swaroopi Satguru ka dhyan rahe

bas ye yaad rakho..
1. sacha satguru kabhi kisi ki ninda nahi karta
2. apne ko kabhi "GOD" ya "AVTAAR" nahi batata
3. apko karam kand mein nahi bandhta
4. laesh matra houme nahi hoti satguru mein
5. saadgi se paramarth ka rasta dikhata hai
6. usse apne barein mein pramaan dene ki jaroorat nahi hoti

agar koi apni maan badhai ya apne sache hona ka saboot dene ki koshish bhi kare to samjhlo ki paramarth ka asli matlab uss vyakti se KOSOOOO door hai...

satguru sirf apne ko andar dhoonde ka rasta batate hain...iss duniya ko apne 'mann' se nikalne ka rasta batate hain

vo mauka deta hai....
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
rajeevanand1
Replied to:  Bhai satguru agar hamare paap-karam ko kaat dete to kya insaan...
Radha soami ji
bilkul sehmat hai, par paltu likha naseeb ka sant det hai pher.
kripya isse aur clear kar dijiye
Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
resonable
Replied to:  Radha soami ji bilkul sehmat hai, par paltu likha naseeb ka...
Bhai ji mujhe pichle santo ki kahi bani ka itna gyaan nahi hai....main aaj mein jeeta hu....pehele jo sant mahatama bani ya vachan de gaye..mjhe uska koi gyan nahi hai...

but firb bhi paltu sahib ji ki pankti se yehi matlab nikal skta hai ki bhai

satguru to paramtma ka swaroop hote hain..unke andar apaaar shakti hai...jo jab chahe sare jeevo ko mukti de skte hai....but kaal ki is duniya ke kaide kanoon mein kabhi sant-jan badha nahi dalte ya use change nahi krte...kaal ne paramatma se kai laakh crore saal tapp karke ye duniya mein jeevan racha hai..to vo iska malik hai...

satguru chahe to seedha dhurdham, le ja sakte hain...bt jaise ek achi khane ki cheez ekdum se nigli nahi jati ..uska swaad dhere dhere lia jata hai...waise hi seedha dhurdham nahi lejate satguru...

sache sant guru nanak sahib ji ki ek sakhi suni thi...ki kaal ek baar unke jeev ko dhoke se apne lok mein le gya....nanak sahib ne jab ye dekha to unhone apna ek thumb(angootha) asamaan mein kra....vo thumb seedha kaal lok mein prakat hua aur jitni souls thi uss samay lok mein...unn sabko kaal se chutkara mil gya...to satguru ki mahima apaar hai...vo chahe to kuch bhi kar sakte hain...







Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
rajeevanand1
Replied to:  Bhai ji mujhe pichle santo ki kahi bani ka itna gyaan...
Radha soami ji

(1) agar hum kisi ko apne paiso se kuchh khilate hai to kya iss ka bhi hisab lene ke liye ana padega

(2) agar hum kisi bhi holy place par jakar, diya gaya prashad lete hai to kya wo bhi karam ka hissa hai

Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
resonable
Replied to:  Radha soami ji (1) agar hum kisi ko apne paiso...
1) kisi ko kuch daan ya khilane se karam to banta hai lekin agar apne suna hoga 'neki kar, kuen mein daal' to fir ache mann se kisi ke liye kuch karo ya khilao to uske badle return mein kuch hope mat rakho....varna vo karam banke apko wapis iss lok mein bhogne ana padega.

Isilye mrityu se pehele kisi pe kra upkar ko paramatma ki daya samjh kar bhool jao...koi apeksha mt rakho ki uske badle kuch chaiye....

waise hi agar kuch kisi se lia ho...ya karz ada karna ho...to bhai jise liya hai..uski mrityu ya apni mrityu se pehele maafi mang lo....agar vo saaf mann se maaf krde to karam nahi chadega lekin uske mann mein agar lesh matr bhi bhav reh gya ki tumse karza nahi mila...to karam banega...bhogne ana padega.

2) prashad ke bare mein aap satsang ghar ko letter likh kar puch skte hain...main iss bare mein kuch nahi bata sakta.
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Bhai satguru agar hamare paap-karam ko kaat dete to kya insaan...
Satguru hame karamo ko sehne aur kaatne ki himmat dete hain...

Agr aap smjte ho ki aap sab krm bhog kr prmatma ke paas jao ge to kbhi nahi ho sakta
Kyo ke kaal ke is lok main hum hr din itne krm kr lete hai jisko ek jnam me bhoga nahi ja sakta

Jme pr pag jo dare
Cot(cror) jeev ek din me mare
Ek din walk krne me hum one caror jeev mar dete hai

Jo choka devo nitya
70 bramhan ki hai hatya
Ek din ka khana bnane me hum etne jeev mardete hai jitna 70 bramhan (pundit) marne ka papa ho

Aabhi bani me or bhe bhot prman hai yaha likhan muskal hai

Aab aap socho hum kese krm bhog kr par ho sakte hai
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Satguru hame karamo ko sehne aur kaatne ki himmat dete hain......
Bhai ji...kal ki rachna mein itne bandhan hain ki iska jaal todne ka sirf ek hi sadhan hai! aur vo hai bhajan simran (5 naam ka)........iss baat se aap chahe agree karo chahe na karo...ye atal sach hai aur kisi ke jhuthlane ya na manne se badal nahi jayega... aaj tak har ek sacha sant NAAM ka simran krne ka gyan deke gaye hain. aur 5 naam milne se kuch nahi hota jabtak ek sache sant ne apka haath na thama ho...

sirf simran+satguru hi hamare karam bhugatwa sakte hain in lok mein....RSSB mein 2.5hr simran+bhajan ka rakha gaya hai....jisse mann khali ho aur teesre til par dhyan laga kar satguru ka swroop prakat kre......jab iss janam mein PRARABHD karam ka kota pura hojayega(simran karne se), tab teesre til se upar ki journey start hoti hai.. (pure gyan ke liye books padhe)



log pichel sat mahatmao ke dohe aur panktiya padh kar unka apni buddhi anusar matlab nikalte hain...but sant-jan pehle kabhi seedhe prachar nahi karte the...


kaal ka chakar hi aisa hai ki ek VEGETARIAN bhi karam kar rha hai jab vo ek ann ka dana khata hai...but in lok mein ye niyam hai ki jeev ko karam karna hi padega warna to vo mukti ke kabil hojayega...jo ki kaal ko manjoor nahi ki uski ek bhi SOUL uske jaal se nikal jaye.

aur jahan tak paramatma ke pass jane ki baat hai to bhai ye to na ek din ki baat hai na kuch saal.....ye to ek anishchit samay ka parishram hai....ek baar teesra til khul gya to samjhlo paramatma ke ghar ka rasta khul gya....uske baad journey bohot kathin to hai...par Satguru saath hote hain Shabad swaroop mein to vo journey bhi kashtdaai nahi rehti..


but firse kaal ke jaal ki baat ati hai to ...ye teesra til ka gyan hi nahi pata lagne deta....karamkaand..religion..traditions mein aisa jakard ke rakha hai ki insaan se kooso door hai ye gyan....aur jab sant ki shran mein aye to bhi itna bharmata hai vivek ko jiski intehaa nhi.
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Bhai ji...kal ki rachna mein itne bandhan hain ki iska jaal...
But firse kaal ke jaal ki baat ati hai to ...ye teesra til ka gyan hi nahi pata lagne deta....

sir teesra til ka gyan to bhot santo ne kha hai . ye kall asli shbad nahi pata lagne deta
jo aap 5 nam ki bat kr rahe ho TULSI SAHIB HATRAS walo ne likha hai
PANCHO NAM KAAL KE JANO

Jb aap kaal ke nam japo ge to dyal aap ke pas kb aye ga
Jo aap panc nam ke bat kr rahe ho aap ko un panco name ke swami and sthan(place) ka gyan hai to bato (kis mantr ka swami kon hai or who kha pr rehta hai) panch nam ke jap se jeev moksh pa sakta hai is ka koi prman ho to bato.
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  But firse kaal ke jaal ki baat ati hai to ...ye...
Shayad apne meri line ignore kardi.....aap jis bhi guru ke pass jate hain shayad unhone apko iska matlab apne andaz mein bataya hoga!!

jab ye baat kehte ho ki "bohot santo ne kaha hai"...to bhai kya unke vachan jhoote the? aur apki buddhi unse upar?? ya fir vo dhoka dete the? sirf 1 guru ki baat ko insaaan jhutla sakta hai...lekin agar wohi baat yugo yugo se sant mahatma karte aye hain!! to iska adhaar hoga!!

PANCHO NAM KAAL KE JANO ka matlab tulsi daas ji ne apne time par sahi dhang se samjhaya hoga...5 naam mein se pehla naam kaal ka hai..uske desh/nagri/jaal se chutkara pane ke liye pehle uska naam ata hai fir baaki 4 naam upar ke hote hain...

agar sara gyan yahin dharti pe santo ko batana hota to sab bata dete..ye sab upar anubhav karne ke liye hai...

"panch nam ke jap se jeev moksh pa sakta hai is ka koi prman ho to bato. "

ye ek dogli baat lagti hai mujhe...ek taraf to satguru/guru ki baat krte ho...uspe vishwas aur astha rakhte ho aur fir uski kahi hui baat ka usse pramaan mangte ho?? ye vishwas karna nhi hua...

sprituality/ruhaaniyat mein jitna jyada iss lok mein khoj been karoge..utna faste chale jaoge....satguru jo rasta dikha de uspe chalke to dekho agar satguru pe vishwas hai to...

maine fir kaha hai....insaan ka mann aur buddhi uske andar bematlab ke question uthate hain ruhaniyat se door rakhne ko....ye kaal ka prabandh hai!!
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Shayad apne meri line ignore kardi.....aap jis bhi guru ke pass...
Satguru jo rasta dikha de uspe chalke to dekho agar satguru pe vishwas hai to...

is sansar me bhot sant hai hr sant ko uski sangat sacha sant manti hai hr sant aapna aapna nam deta hai is hesab se hr who jeev jo aapne guru ko sacha sant manta hai paar ho jyega

mera ye swal hai kya koye bhe beej beej dene se aam(mango)ka ped peda ho sakta hai ?

aap ko tulsi sahib ki bani pa wishwash nahi to
KABIR JI ka ek shbad hai
santo shbdo shbad bkhana pd kr dekho
us me bhe 5 namo ka jekr aata hai hr nam ki aapni vidhi hai
or un panch namo se kha tk moksh sambhv hai who bhe likha hai

muje ye pata tha ke aap 5 nam kis kis ke hai nahi likho ge
ye btana mna hai pr aap khud socho ke aap ko un ka pata hai ? yaha tk muj ko pata hai aapko 5 nam 5 sound and 5 light ka pta ho sakta hai who dhni jin ka ye nam hai who upar kis kis lok mai rehte hai pata nahi ho sakta

agr pata hai to sirf itna he likhdo ke ha pata hai

Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Satguru jo rasta dikha de uspe chalke to dekho agar satguru...
Wahan tak pohoch to jao..iss jaal se to nikal jao....mayavi dhakosle se to niklo uske baad apne aap gyaaat ho jayega ye sab prashno ka jawab....

ab agar main ye batadu ki mujhe naam daan nahi mila to apko lagega ki jab nahi mila to isse kya pata!!

bt itna jaan lo....iss marg par chalne se pehele mjhe poori azadi hai ki jau ya na jau! dekh parakh kar hi vishwas rakha hai!

sant to bohot hain...par sache satguru ke QUALITIESye rahi:

1. sache satguru kabhi kisi ki ninda nahi karte
2. apne ko kabhi "GOD" ya "AVTAAR" nahi batate
3. jeev ko karam kand mein nahi bandhte
4. laesh matra houme nahi hoti satguru mein
5. saadgi se paramarth ka rasta dikhate hain
6. unhe apne barein mein pramaan dene ki jaroorat nahi hoti


agar apke guru usmein poore samate hain to theek ...warna to aap decide karlo..sach aur dhoka kya hai

mujhe to ye sare gunn mere guru mein nazar ate hai...bina kisi PREJUDICE ke....sirf vishwas ke upar nahi...unka duniyavi rehan sehen aur taur tareeke dekh kar!!....irsshya karna wale log jhutlate hain..bura bhala kehte hai...lekin usse koi farak to nahi padne wala...mere guru ne aaj tak ek bhi aisa koi kaam nahi kra jo upar likhe points se hat kar ho

ek sacha purnn satguru bhi naseeb ki baat hoti hai!! apke karmo aur bhakti pe nirbhar karta hai ki amulya insaani chole mein apko satguru ka saath mila hai ya nahi!

agar parmatma mein samane ki aur usse milne ki sachi bhavna hai to paramatma bhi pukar sunta hai...iss janam mein na sahi... agle janmo mein milap hoga sache satguru se!!

Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Wahan tak pohoch to jao..iss jaal se to nikal jao....mayavi dhakosle...
Wahan tak pohoch to jao..iss jaal se to nikal jao....mayavi dhakosle se to niklo uske baad apne aap gyaaat ho jayega ye sab prashno ka jawab....

1 agr kisi ko khi jana ho pr rasta pta na ho or who ye soch kr chl pdta ha ke chkne se manjil apne aap aa jye ge to us ka kya hoga ?


ab agar main ye batadu ki mujhe naam daan nahi mila to apko lagega ki jab nahi mila to isse kya pata!!

2 muje bhot aacha lage ga ke aap ke man me prmatma pane ki cha hai.

bt itna jaan lo....iss marg par chalne se pehele mjhe poori azadi hai ki jau ya na jau! dekh parakh kar hi vishwas rakha hai!

3 geeta gyan data geeta gi main bool raha hai JO SADHAK JIS KI PUJA KRTA HAI MAI US KI BHAWNA KO US MAI HE STHIR KR DETA HU

sant to bohot hain...par sache satguru ke QUALITIESye rahi:

1. sache satguru kabhi kisi ki ninda nahi karte
AAP NIND KIS KO KHO GE
Ek baap apne son ko jo buri sangat mai hai bole ke beta aap ka who dost aacha nahi us ki sangat chod do and sath me prman bhe de tto kya baap son ke dost ki ninda kr rha hai ?

2. apne ko kabhi "GOD" ya "AVTAAR" nahi batate
yaha ek doha likhta ho
Kabir ji ka hai jo unho ne delhi ke badsha ke drbar me kha

Hum he alkh alha hai kutab gosh or peer
Daas greeb khalk dhni(god) mera nam kabir

Swami rama nabd ji ko bola

A swami sristha mai sriste mere teer

To kya who purrn sant nahi the



3. jeev ko karam kand mein nahi bandhte
yes

4. laesh matra houme nahi hoti satguru mein
yes

Kabir ji ki vani
33 arb gyan hum bhakha(speek)
Mool gyan gupt hum rakha.

Pr dunya aapni smaj se us ko ghmandi man leti hai

5. saadgi se paramarth ka rasta dikhate hain
yes
6. unhe apne barein mein pramaan dene ki jaroorat nahi hoti

kabir je ke upar more then 20 time aatack hura un ko marne ke ley hr bar kbir ji ne apne god hone ka prman deya


Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Wahan tak pohoch to jao..iss jaal se to nikal jao....mayavi dhakosle...
1. rasta to pata hai...aapko bhi aur mujhe bhi...lekin ye na duniyavi marg hai aur na hi isko bayan kara ja skta hai...iss duniya mein utne rang nahi jitne wahan hai...uss duniya ko Describe karna kisi ke bas mein nahi hai...aur ye sochne ki baat nahi hai....ek guide agar apko rasta dikha de to aap jaroor uss marg pe chaloge...bas apko vishwas krne ki jaroorat hai uss Guide(guru) par.... agar vishwas hi nahi hoga to for sure apka bhatkna guaranteed hai!! ye apki kismat/destiny pe depend karta hai hi apko Guide Genuine milta hai ya fir dhoka dene wala!!

3. geeta mein insaan ko sadachaar sikhaya gya hai!! ye achi baat hai bt main geeta se koi bhavna nahi rakhta...Shri krishna...Shri Ram...Vishnu dev ke avtaar the aur fir shayad aap jante hi ho ki Devi/Devta kaal ke adheen hote hain....srishti ke sancharak hain...kaal ke nyukt kare hue hai...kaal ne jimmedari di hui hai inhe...devi/devta bhi Triloki se upar jane ke icchuk hote hai..satguru ko vo bhi taraste hai.unche karam ke bhogi hote hain..lekin insani chole se hi mukti sambhav hai...

main kisi ka anadar nahi karta, lekin agar Geeta ko main kahu ki ye insaan ko iss LOK mein jakar ke rakhti hai to galat nahi hai......apke reply ko hi dekh lo.

************************************************

sant to bohot hain...par sache satguru ke QUALITIESye rahi:

1. yehi to maine bola....satguru ko praman dene ki jaroorat nahi hoti...itni shakti hoti hai unmein ki dusre ko galat na tehrakar anubhav karne ka mauka dete hai....apne vachano se prerit nahi karte....aap nahi samjhoge kyunki apko andar se anubhav nahi hua h shayd...mjhe bakhaan karne ki jaroorat nahi jo expereinces since birth hue hain..

hahahha praman ki jo baat kar rhe ho...mjhe pata hai kya praman diye hai..isi ko dhkosla bolte hai mere dost!!!

roohaniyat swarth ka sauda hai!! mano ya na mano....kisi aur ko bata kar...usko prerit karek kuch nahi milta....


2. arey kisne mana kiya nahi the?? aap dohe mein atke raho...ham present mein rahenge!!

yahan koi zulmi badshah nahi....jisko praman dena pade!

ye baatein/jawab apke mann se utpan nhi hue....agar hue to bohot chalaki se unhe aisa roop dikhaya gaya hai ki aap usse bhatko nahi aur andh vishwas karlo....jaise ki point 1. ninda wale mein aapne kar lia...ki baap hain..rasta dikha rhe hain

6. akhir baat wahin ati hai....aap beete hue sant se bhavana rakhiye...unhe moksh ki apeksha kariye...jisse kuch nahi hoga....jeevit satguru se hi moksha prapt ho skta hai....warna baar baar sant/satguru ko iss lok mein na ana padta agar mukti pichle satguru ko pooj kar ya unke gyan se hoti to!!
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  1. rasta to pata hai...aapko bhi aur mujhe bhi...lekin ye na...
Hahahha praman ki jo baat kar rhe ho...mjhe pata hai kya praman diye hai..isi ko dhkosla bolte hai mere dost!!!

Aap ne book padne ko kha tah shyed aad bhool gye ho jo SWAMI JI MAHARAJ baba JAIMAL SINGH JI MAHARAJ BABA SAWAN SING JI MAHARJ SANT TULSI JI MAHARAJ (JAI GURU DEV WALE) SHAH MASTAN JI maharaj en sab ne bhe bhot kramat dikhkai
Unko books main likha hai.

us ko aap kya khoge dost ?

mene sun hai shyed ab tk radha swami ke nam ke more the 40 alag alag panth chl rhe hai like rss beas rss sirsa rss delhi rss trntarn rss bhawani kya who sb sacha nam de rhe hai ? un sab pantho ke sangat aapne aapne guru ko purn sant manti hai jb ke bhout sant alag alag nam de rhe hai
Ye sab sant aapni man bdai ke leye kr rhe hai agr sb sant hum jeevo ka udhar(moksh) chate hai to un sb ko mil ke ek(one) nam or rasta nekalna and btana chaheye ta ke hum jeevo ka moksh ho ske

Phle shiksha(education) nahi the hum apne shastr nahi pd sakte the pr aab educated hai.

roohaniyat swarth ka sauda hai!! mano ya na mano....kisi aur ko bata kar...usko prerit karek kuch nahi milta....

swarth kiska guru ka ji hum jeevo ka ?

hum main kitne log hai jo aapne aap guru ke pas jate hai jb tk hame koi dusra us sant ke bre me na batye chahe btane wala hmara bap bhai ya dost kyu na ho like any one


2. arey kisne mana kiya nahi the?? aap dohe mein atke raho...ham present mein rahenge!!

aaj bhe school colage me siksha ke formule purane hei hai ha techar jroor nya hota hai agr aap kho ke water ke taton ko allag allag kr ke aap milk bna sankte ho to kya ye sambhav ha wha se oksejan and hydrozen he mil sakta hai
ye dohe or grunth fomule hai in ko hum juthla nahi sakte

yahan koi zulmi badshah nahi....jisko praman dena pade!

Jis trha KEHTE HAI PHELE 1 RAWAN THA AB GR GR ME HAI



ye baatein/jawab apke mann se utpan nhi hue....agar hue to bohot chalaki se unhe aisa roop dikhaya gaya hai ki aap usse bhatko nahi aur andh vishwas karlo....jaise ki point 1. ninda wale mein aapne kar lia...ki baap hain..rasta dikha rhe hain

ha ye baatein mere mann se utpan nahi hue jb tak main bina gyan ek ke uppr bina prman ke vishwash krta rha. jis tra ke chote baby ko us ke maa bolte hai main tuje mata(est/guru ji) se leya ha or who baby maa ke bat pr ykeen karta hai pr jo who bda hota hai to us ko sab samaj aa jata ha ke meai kese peda hua tha. fir who aapni maa ko ye nahi bolta ke aap ne jooth kaha tha. pr aapni maa ki us bat pr ykeen nahi krta.
Jb gyan smjha and prman dekhe to smajh aya. Jb tak hum asle or nakli dono chejo ko nahi dekh lete tb tak hum apne nakli pathr ko he hera samj lete hai and wkat ane pr pachtana pdta hai

aap ninda kis ko mante ho ?

6. akhir baat wahin ati hai....aap beete hue sant se bhavana rakhiye...unhe moksh ki apeksha kariye...jisse kuch nahi hoga....jeevit satguru se hi moksha prapt ho skta hai....warna baar baar sant/satguru ko iss lok mein na ana padta agar mukti pichle satguru ko pooj kar ya unke gyan se hoti to!!

Ha ye thek hai ke moksh ke leye jinda satguru ke jroort hai . prmatma ek hai who nr akra (like as man) hai us ko pane ka rasta bhe ke hai . is ka prman hmare sad granth dete hai . jiho ne prmatma ko pya un sb ne yhe kha . jo prmatma ko nir akara bolta hai ke us ko dekha nahi ja sakta sirf us ka prkash dekha ja sakta hai to who kese sacha ho sakta hai.ye to yhe bat hui ke koi khe ke mene sun ka prkash dekha pr sun nirakar hai us ko dekha nai ja sakta sun ke bina us ka prkash kese ho sakta hai

Dou(two) thod (place) hai ek to bhya ek se do(two)
Greeb dass hum karne aye ho mug(way/rasta) jo (walk)

Jinho ne prmatma ko uupr sachkhand me dekha or fir aapnr samne erth pr unho ne ye shbad bole

Satguru ke lkshan khu bole ban (vani)venod(sweet)
4 vad 6 shastr khe 18 bhod (gyan)
Sacha satgur ved shastr ko juthla nahi bl ke us ki gupt bat ko prgat krta hai


Dost main jo yaha lik raha hu us ko mera abhiman na smjna. Ye sab mere guru ke den hai jinho ne muj pape ko aapne shran lekr grantho ka gyan deya and prmatma ko pane ka sacha rasta btaya who bhe prman ke sath.
Aapne vechar aage bhe prem purvak likhan.
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Hahahha praman ki jo baat kar rhe ho...mjhe pata hai kya...
Sabse pehele shayad aap ye nahi jante ki kaal ki 3 conditions Dayal ne accept kari hain:
1. satguru kabhi jeev ko uska pichla janam nahi bataenge/dikhaenge
2. kabhi jeev ke agey chamatkar/karamat nahi dikhaenge, jeev ko unke pass ana hoga to apne aap ayega....warna chamatkar agar dikhane lage satguru to ek bhi insaan iss lok mein nahi tikega aur kaal ki roohe bohot kam ho jaengi.
3. jeev apne chole/character/body mein hamesha khush rahe, jo usse yoni mili hai usse swikaar ho.


To issi baat ke 2. point se clear kardu ki aapne jin RSSB ke santo ka naam mention kara hai..unmein se kisi ne bhi kabhi chamatkar ya karamate nahi dikhaii....haan maine books padhi hain...aur agar apne dhyan se bina bhed bhav ke padhi ho to apko gyat hoga ki hamesha Guru ke guru ki daya unpar rahi hai....aur vo EXPERIENCE aur DEKHI jati thi life mein....yehi base hai RSSB mein..satsangi sirf andhe vishwas mein nahi ate...unhe ya to apne life mein expereince hote hain..ya fir jo naam leke progress karte hain andar.

Baaki santo ke bare mein bolne ki meri hasti nahi hai!! unhone kya kara...mujhe nahi pata...agar aap jante ho to ye bhi pata hoga ki kai naami sant the....lekin har koi satlok tak ki pohonch nahi rakhta...guru bhi andar wahan tak jeev ka saath dete hain jahan tak ve khud pohoch gaye ho....satguru vo hote hain jo purnn roop se sat lok tak hi pohoch rakhte ho.

*****************************************


jahan tak rahi RSS ki baat to dekho..history apne padhi hogi...Swami ji maharaj ne 2 shishyo ko adesh dia tha Satpurush ke bare mein jeevo mein prachar ka....ek the Baba jaimal singh ji maharaj aur dusre Agra wale!

lekin swami ji maharaj ne ye spasht kar dia tha ki kuch bhi ho...gaddi to beas mein hi chalegi...

swami ji maharaj purti puja ke khilaf the....aur usi ke against aaj agra wale unki moorti banane ki kohish kar rhe hain....bohot saal hogai lekin vo ban nahi pa rhi...kyunki PURN sant ne mana kia tha to result samne hai...

aur jahan tak rahi Apki baat...to shayad apko bhi samjh nhi ayega kyunki maine bola hai ki ek parda ya mindset banne ke baaad insaan sochta nahi hai....aap jinhe guru mante hain..aap nhi manenge ki unki bhasha ninda se bhari hoti hai....apshbad kisi bhi guru ya vyakti ke liye bina hichke nikalte hain... to iska asar bhi dekh lo....mujhe yaad hai apne ek post banai thi..."tambaku" aur usmein apke intentions saaf dikhai dete hain....isi ko bolte hain nindak pravriti...jab aap apne guru ko mante ho to dusre se kya matlab apko? na RSSB se koi relation na koi personal issue!! bt firbhi neecha dikhane ki koshish kari thi!!....aaj tak apne RSSB ko media mein nahi dekha hoga..na hi kisi RSSB satsangi ko ninda karte dekha hoga(until and unless provoked, like you did) aur na hi kisi guru ke bare mein tippani karte dekha hoga...

ab apne ko tol ke dekh lo kahan khade hote ho!! sache guru ke saath ya nindak awastha mein apne guru ke saath.


"sant" to har koi aajkal mic ke samne baithne wala apne ko bolne laga hai. uski vesh bhusha aur chaal chalan uski pehchan karvate hain!

jahan tak naam ki baat hai to bhai to Guru nanak dev bhi wohi gyan dete the..purn sant the....fir shri guru granth sahib mein bhi wohi gyan ata hai.lekin log samjhte nahi hain. Satguru ate insaan ke chole mein hain...to unhe bhi iss shareer se bandh kar rehna padta hai...ek time baad apne agey doosre guru ko gaddinisheen kar dete hai..

***************************************************

Phle shiksha(education) nahi the hum apne shastr nahi pd sakte the pr aab educated hai.

Educated nahi the tabhi ache the....kyunki uss samay ye Guru banne ki bheed nahi thi....jo guru hote the....sach aur bina jhoot ke prachar karte the...log saaf dil ke hote the to jaldi vishwas karke androoni safar jaldi shuru karte the...

aur shastro mein bhi iss lok mein bandhe rehne ka gyan milta hai..purn gyan to 5 naam se paramatma ka milan hai.

****************************************************


ruhaniyat jeev ke swarth ka sauda hai!!! Satguru ko usse koi laabh nahi lena hota...kyunki vo dene ate hain..lene nahi!

****************************************************


apko bataya tha....ved shastr iss duniya se bandhan nhi tootne dete..unka gyan sirf iss insaan buddhi aur mann ki bhook mitane ke liye hai.....rooh ki bhook sirf androoni gyan aur naam se poori hoti hai.

*****************************************************

"Jb gyan smjha and prman dekhe to smajh aya. Jb tak hum asle or nakli dono chejo ko nahi dekh lete tb tak hum apne nakli pathr ko he hera samj lete hai and wkat ane pr pachtana pdta hai "

Ye baat yaad rakhna....agar apni baat ke pakkke ho to jaroor yad rakhna..

******************************************************

bhai jo paramatma ko paa leta hai vo iss lok mein nahi rukta....guru jan bhi androoni progress karte the...lekin satpurush se agar milap ho gya hota to duniya mein nahi rehte..aur na hi 7 madal mein reh kar 5 naam ka simran karna padta hai tab..kyun jeev ki rooh paramatma mein sama jaati hai...koi rooh/akar/hasti nhi rehti uski fir


******************************************************
"Sacha satgur ved shastr ko juthla nahi bl ke us ki gupt bat ko prgat krta hai "

sahi baat hai...

******************************************************

bhai sab baat yahan ati hai ki guru chamatkar nahi dikha sakte isiliye praman bhi itni jaldi nahi dete...sab karne ko vo saksham hote hain lekin Jeev ke karam bhi katvane hote hai guru ko.

*******************************************************


jinhe aap guru mante ho unse apne tulna nahi kari kabhi RSSB ki...kyunki parda dala hua hai ap ke upar!! paramatma se bas itna mango ki sirf sache satguru ka saath dilaye...jisse apka ye janam barbad na ho!!aur fir 84lakh ke circle mein na fass jao....jiss din apke guru androoni ehsaas ya duniyavi experience karvade uss din sochna apne ko sahi tehrane mein...tab RSSB ke kabhi satsang mein nahi gaye to kis base pe ninda karne chale aye aap?

sirf bolne se ya dohe aur grantho ka matlab batane se guru nhi bante koi...gyan aur sirf sacha 5 naam ke gyan ko prakat karke uska expereince jo karvade...wohi satguru hain!!




Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Sabse pehele shayad aap ye nahi jante ki kaal ki 3...
To issi baat ke 2. point se clear kardu ki aapne jin RSSB ke santo ka naam mention kara hai..unmein se kisi ne bhi kabhi chamatkar ya karamate nahi dikhaii....haan maine books padhi hain.

Es ko he bolte hai chit bhe meri put bhe mai

1 jaimal singh ke nam lene se phele hindu sikh ke duvdha ko swami ji ne aapne hair lumbe kr ke dekhye
2 babau bua dass ralway station master ke oil ke ten fil krna

3 beas drya ke pane ko ghee me bdlna

4 ek satsangi to 7 din ek kmre me dr. jonsan ke samne bena wate and food ke bnd rakhna

Abhi or bhot hai yhe sab aap ke old edtion ki books main melege . mere pass abb rssb books nai hai nahi to aap ko book ka page number and edtion be btadeta

Aap kb se rssb ja rhe ho ? shayed master purn singh aab wha hai ya nahi nahi janta agr who wha hai and aap ka unse link hai to unse puch sakte ho. Ke ye jo mene likha thek hai ya nahi
Ek prechar P S BRNALA ji bhi hai un se link kr lo.

Sant kramat nai krta aap khete ho pr sant mat ye kheta hai
Who sant he kya jis se kramat na ho and who sant hekya zo krmat krta fire
es line so smjhna bhi asan nahi dost

es leye kbir ji ne kha hai

sach kho jag marn aawe
jooth khe na jye ho
sach na pura pawte
jutheya jag patyi ho


Educated nahi the tabhi ache the....kyunki uss samay ye Guru banne ki bheed nahi thi....jo guru hote the....sach aur bina jhoot ke prachar karte the...log saaf dil ke hote the to jaldi vishwas karke androoni safar jaldi shuru karte the...


Kis tra acha tha tb dhram guru ne murte pooja vrat sradh krwa kr hmare purvjo ko shastr verudh sadhan krwal kr bhoot or pitr banwa deya and nrk bhej deya
Aap bhe aab bol rhe ho murti puja nahi krni. agr thek ta to abb aap murti puja and devi deta ke puja ko kyu nahi mante .

bhai jo paramatma ko paa leta hai vo iss lok mein nahi rukta.

Kya Es ka matlb aab jitne guru sansar main hai kisi ne prmatam ko nahi paya ?

RSSB ke kabhi satsang mein nahi gaye to kis base pe ninda karne chale aye aap?

Dost main kisi ke ninda nahi kr rha aap ninda or sach main anter nahi kr pa rhe ho
Kirpa krke ninda and sach ke alag alag anter btaye .

Mai rssb me 1976 se 2004 fir 2005 se 2011 tk gya ho nam 19 apr 1990 ko mela tha


2004 main kisi ne muj ko us sant ke bare mai bola pr aap ke khene ke anusar purni soch nahi bdl ska 2 bar satsang suna or us ko ninda krne wala man kr Fir 2005 main wapis aa gya pr who swaljo mann me peda huye unka 7 year tk koi answr nahi de saka yhe nahi ke sirf rss wale or bhe bhoto ke pas gya un ke satsang sune pr sab whe kuch . akhir har kr wapis usi sant ki srn me gya .

Dost Hum sb bhi hai ek pita ki santan hai kaal ne hum ko alag alag dhrmo majbho me bant rakha ha take hum ke dusre se ldte rhe and appna mnush ka jnam gwa de or kkaal ke mukh me chle jye.

Acha dost ye topic lamba ho gya hai bas ab yhe khoga KABIR JI KE DO SABAD
1 kr neno dedar mehal me pyra hai (es ki cd aap ko rssb main miljye ge) us ko dhyan se sunna agr hr line ko khud pad sako to aacha hoga
2 santo shabdo shabad bkhana es ko dhyan se pedna fir sochna aap ka rasta kha jata hai.
Yhe dono shbad aap ko KABIR SAGAR main mil jye ge .
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  To issi baat ke 2. point se clear kardu ki aapne...
Chalo maan bhi li agar apki baat...ho sakta hai in baato mein se kuch sahi ho kuch galat...maine purani books nahi padhi.
lekin ye bhi apko samjhna chaiye jaise duniya badal rahi hai..insaan ki buddhi viksit ho rahi hai usi prakar insaan ko differentiate karna a gaya hai....apne aastha se jyada apni buddhi pe vishwas karta hai.....tabhi aap kabi santo ko khule aam chamatkar/karamat karte nahi dekhoge!!

*************

"Sant kramat nai krta aap khete ho pr sant mat ye kheta hai
Who sant he kya jis se kramat na ho and who sant hekya zo krmat krta fire
es line so smjhna bhi asan nahi dost"

Sant mat ki kaunsi definition de rahe ho ?? ye kahan likha hai?


Bhai kabir das ji bohot bade sant the...lekin unhone chola chord diya hai!! unki bani aur shabad sirf ek gyan ki taraf ishara karte hai...vo hai Naam ka simran..jisse paramatma ko paane ka rasta milta hai!


*************

maine dharm ki to baat hi nahi kari...dharm guru kahan se agae? dhrm kahan se agya!! maine to Sache sant jo naam ka gyan dete the unki baat kari hai!!....unpe vishwas karna asaan tha pehele...ab insaan apne vivek ko sabse upar manta hai...aatma ki awaz bhi nahi sunta...aur wahin chook hoti hai.

*************

aap ninda nahi kar rhe the to Swami ji pe question kis base pe kra apne? ya to aap ko ye samjh nahi a rha ki jo beeta kal hai usse hame na to paramatma agey milega na kuch aur hasil hoga....jo aaj mein jee rahe ho to present ke gyan ko samjho aur paramatma ki taraf kadam badhao...swami manlo agar hukka pete the...to bhai apko isse kya? kis adhikar se question kra apne?

************
apke kaunse sawal the? aur aisa ho nahi skta ki sawal ke jawab na mile ho agar apne letter likha ho to!!
fir ye ki apka vishwas itna kamjor tha ki agar kuch sawal ka jawab nahi mila to naam lene ke baad aap bhatak gaye!! vishwas jama nahi paye....agar guru bolte hai ki teesra til kholo fir sare jawab mil jayenge!!..to apne vo kyun nahi kra? Mujhe pata hai asaan nahi hai...lekin ek matra rasta to wohi hai

apka to ussi sant se rishta juda hua hai jisse apne pehele naam lia tha....kuch bhi karo lene to wohi ayenge!!

apne questn batao jiske answer nahi mile...!!

*************


ek pita ki santan to hain..lekin uske pass jane ka samay alag alag hai...shayad aap mujhe pehele kadam badha chuke ho....lekin dagmga gaye raah se......mujhe apne pe vishwas hai....naam lene ka matlab hi purn vishwas hona....

.001% bhi doubt ho to internal progress hi kaise karoge!!




haan ye topic lamba ho gya hai...
**************


Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Chalo maan bhi li agar apki baat...ho sakta hai in baato...
Chalo maan bhi li agar apki baat...ho sakta hai in baato mein se kuch sahi ho kuch galat...maine purani books nahi padhi.

Aap koi bat smjhne ko tyar nahi . aapni books aap ne padhi nahi or santo ki vani aap jante nahi


"Sant kramat nai krta aap khete ho pr sant mat ye kheta hai
Who sant he kya jis se kramat na ho and who sant hekya zo krmat krta fire
es line so smjhna bhi asan nahi dost"
Sant mat ki kaunsi definition de rahe ho ?? ye kahan likha hai?

mene phele he likha hai es line ko samjhna asan nai .

Bhai kabir das ji bohot bade sant the

es liye to main un ki vani le raha ho unho ne aapni vani me saf saf likha hai main dobara es sansar mai apne bacho ko lene ke liye auga. And time bhe likha hai. And apne ane ki phchan bhi ke us time main kya kruga and ye bhi likha hai mere aane se phele kaal anek sant es sansar me bhej ke jeevo ko gumrah kr dega Nahi yakin to kabir sagar dekhlo.



...swami manlo agar hukka pete the...to bhai apko isse kya?

Us ke bare main ek topic tambaku me likha tha. Us pr kai logo ne aapni rai de the ke tambaku
Bhagti me and sreer(body) ke liye hane karak hai
Pr sb baad me kya hua aap ne pda hoga.

Es bolte hai dosra kr to glti hum kre to thik

Tambaku ke uper ek line doha likho ga to thik nahi hoga kosis kroga ke pura shbad net pr upload krke aapko line likhu.
Es topic me aap tambaku ko dobara likh rhe hai jo apne jaal me fs gye and koi jawab nahi to topic change kr rahe ho

1 aap ko two bar ninda and sach ko alag alag likhne ko kha aap ne nahi likha
2 aap ko two shbad likhe
1 kr neno dedar mehal me pyra hai (es ki cd aap ko rssb main miljye ge) us ko dhyan se sunna agr hr line ko khud pad sako to aacha hoga fir dekhna kis line ki viakhya nahi ki and us ka kya matlab hai
2 santo shabdo shabad bkhana es ko dhyan se pedna fir sochna aap ka rasta kha jata hai.
Es shabad ke koi prechar satsang kr sakta hai ?

Shyed aap ne nahi pde ja fir smjh nahi i
Dost es ko tatv gyan khete hai jo purn sant se hi milta hai hr sant ye gyan nahi de sakta.

Satguru ke lkshan khu bole ban (vani)venod(sweet)
4 vad 6 shastr khe 18 bhod (gyan)
Sacha satgur ved shastr ko juthla nahi bl ke us ki gupt bat (tatv gyan) ko prgat krta hai


to aap ko aab kya likhu ?

yaha fir doha yad aa rha hai

moti mukta drsat nahi ye jag sb haa andh re
dekhan ke do nain enke firya motya bind re.
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Chalo maan bhi li agar apki baat...ho sakta hai in baato...
Duniya mein anek aise karam hai jis se ham bach sakte hai....unki gambherta itni hoti hai ki bhogne ke samay itna kasht hota hai ki bhagwan ko kosne lagte hain!!

Ye to rahi karmo ki baat....ab issi baat pe shayad apko ye bhi pata hoga ki santo ki ninda se bada koi paap/karam nahi hai....ye har uss religion ya philosophy mein ata hai jahan santo ne paramatma ki asli paribhasha batai hai...!!


apke type ke gyan se hi le lo

तिनका कबहुँ ना निंदिये, जो पाँव तले होय ।
कबहुँ उड़ आँखो पड़े, पीड गहरी होय ॥

ye doha apne shayad nahi padha!!

ab NINDA ka matlab main batau to sant pe ungli uthana ham insaano ke liye ek gira hua karam hai....ab apne swarth ke liye aap ninda karne ko SACH batana boldo to apki karni to badal nahi jayegi......sant pe question uthana hi ninda hai...english mein Crime bol lo ya hindi mein Gunhaa....

agar apko pata ho to sant-jan mein bhi param sant vo hote hain jo dhur dham se seedhe is lok mein ate hain!! (satlok)

Swami ji maharaj unmein se ek the....ye baat aap books mein padhlo.

ab hukke bhi baat pe ao to bhai Tambaku aur hukka isilye mana hai kyunki ye insaani shareer ko ek latt/addiction laga deta hai...jisse meditation mein problem hoti hai...body still nahi hoti aur disease ke bhi chances rehte hain!!

swami ji ke time pe vo jo bhi hukka pete honge, unke barein mein aap 100 saal ke baad tippani nahi kar skte!! agar aap RSSB mein thee kisi time (i dont believe it though) to apko ye baat pata honi chaiye thi ki apni/insaani maili aatma ko..jike upar croro janmo ke karam chadhe hue hain...usko Param sant se compare mat karo....

"Es bolte hai dosra kr to glti hum kre to thik " ye line bata rahi hai ki ek param sant ko aap insaan ke level pe la rhe ho


aur itna ko socha hota ki swami ji maharaj nasha karne wali cheej se door hi rehte kyunki vo isi ki shiksha dete the!!

*********************************************************

"Es topic me aap tambaku ko dobara likh rhe hai jo apne jaal me fs gye and koi jawab nahi to topic change kr rahe ho "

mere dubara likhe se yehi matlab hai ki asliyat dikhana!!....o bhai!! kaunse jaal ki baat kar rhe ho?? apki baato ko jaal samjh rahe ho? LOL

mere pass jawab hai aur wohi diya tha....topic change karne ki mujhe jaroorat nahi hai!!

main to sirf ye dikha rha tha ninda se bhare hona aur ek dogla-pan dikhana kitna galat hai....apne TAMBAKU ka topic aise shuru kara tha jaise naye ho!! aur fir yahan ake bol rahe ho BOHOT saal RSSB mein rahe ho......


Doglapan isko bolte hai...yehi jaal hai jismein aap khud fass gaye the

*********************************************************

"Dost es ko tatv gyan khete hai jo purn sant se hi milta hai hr sant ye gyan nahi de sakta."


aap usko tatv gyan bolo chahe jo.....lekin apke anusar 1990 mein NAAM daan lia tha.....uske baad kitna ap line pe chale aur simran kara? bhai bolna bohot asan hai ye baat!! aur agar apke questions the hi to NAAM kyun lene gye? jab sure nahi the?

*********************************************************


apse vo question puche the jinka answer nahi mila tha apko!!! apne vo to bataye nahi...aur mujhe bol rhe ho topic change kar dia?

***********************************************************



Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Duniya mein anek aise karam hai jis se ham bach sakte...
Sir mai out of station hu
Aapko sunday ke baad reply karuga.
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
MANYMANY
Replied to:  Duniya mein anek aise karam hai jis se ham bach sakte...
=
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Duniya mein anek aise karam hai jis se ham bach sakte...

ab hukke bhi baat pe ao to bhai Tambaku aur hukka isilye mana hai kyunki ye insaani shareer ko ek latt/addiction laga deta hai...jisse meditation mein problem hoti hai...body still nahi hoti aur disease ke bhi chances rehte hain!!

swami ji ke time pe vo jo bhi hukka pete honge, unke barein mein aap 100 saal ke baad tippani nahi kar skte!! agar aap RSSB mein thee kisi time (i dont believe it though) to apko ye baat pata honi chaiye thi ki apni/insaani maili aatma ko..jike upar croro janmo ke karam chadhe hue hain...usko Param sant se compare mat karo....

MANE KABHI APNE AAP KO KISI SANT SE COMPARE NAHI KEYA AB AAP TAMBKU KE BARE ME AAP HI LOKH RHE HO. MAINE TO YEH PUCHA THA KE SWAMI JI ETNE BDE SANT HO KR HUKA KYU PETE THE ?


SANT GREEB DAS JI NE 250 SAL PEHLE AND SANT KABIR JI NE 600 SAL PEHLE APNI PAWITAR VANNI MAIN HUKKE KE BAARE MAI LIKA HAI

PAR DWARA ISTRY KA KHOLE
70 JANAM ANDHA HO DOLE
MADIRA PIVE KADUWA PAANI
70 JANAM KUTTE KE JAANI
100 NAARI JAARI KARE SURA (SARAB) PAAN 100 BAAR
1 CHILAM HUKKA BAARE DOOBE KAALI DHAR

(DOST AGAR YE DOHA AAPKE SAMAJ NA AAYE TO PLEASE MUJHE BTA DENA MAI EXPLAIN KAR DUNGA)
EK BOOK SANT KABIR RSSB SE PRKASIT HAI SIXTH EDTION 2004
PAGE NO. 113 PADO
JO RSS ME 2.30 HOUR SIMRAN KRNA AND ANKH KAN BAND KRKE DHYAN LGANA BTATE HAI
US KE BARE ME PAGE NO 194 SHBAD NO 12 PAGE NO 224 SHBAD NO 61 PADO AND SOCHO

AAB ETNE PRMAN DEKH KR BHI AAP NA MANO TO MAIN KYA KHU

JAN BHUJ SACHI TAJE KRE JOOTH SE NEH(PYAR)
EYSI SANGATI HE PRABHU SWAPAN ME BHI NA DE


*************************************************************************
agar aap RSSB mein thee kisi time (i dont believe it though)

AAP VISHVASH DELANE KE LIYE KE MAIN RSSB ME THA MUJHE OR PROOF DENE KI JROORT NAHI
------------------------------------------------------------------------------------------------------
apke type ke gyan se hi le lo
तिनका कबहुँ ना निंदिये, जो पाँव तले होय ।
कबहुँ उड़ आँखो पड़े, पीड गहरी होय ॥
ye doha apne shayad nahi padha!!

YE DOHA BILKUL THEEK HAI

AAP PEHLE SACH AUR NINDA KO DIFFERENTIATE KRO KI SACH KISE KEHTE HAI AUR NINDA KISE?
AGAR AAPKO LGTA HAI KI MAI RSSB KE BAARE MAI AAPSE POOCH KAR RSSB KI NINDA KAR RAHA HU TO AAP GALAT SAMAJ RAHE HAI

RSSB MAI BOLTE HAI EENT PATHAR KI POOJA KARNE SE(MURTI POOJA),YA GANGA MAI ISHNAN KARNE SE,VARAT RAKHNE SE,MOKSH NHAI HO SKTA
IS BAAT KO SUNKAR JO LOG(JO RSSB MAI WISHWAS NAI KARTE) YE SAB KUCH KARTE HAI YEHI KEHTE HAI KI RSSB WALE NINDA KARTE HAI

AB AAP HI BTO KYA RSSB WAALE SACH BOL RAHE HAI YA NINDA KAR RAHE HAI ?
***************************************************************************
apse vo question puche the jinka answer nahi mila tha apko!!! apne vo to bataye nahi...aur mujhe bol rhe ho topic change kar dia?

AB MERA QUESTION YE HAI KI
1) KYA GURU KE BINA MOKSH POSSIBLE HAI? (YES OR NO )
2) SACH KISE KEHTE HAI AUR NINDA KISE KEHTE HAI?
3) KYA AAPNE “KAR NAINO DIDAR “ SABAD & “SANTO SABADO SABAD BAKANA” SABAD PADHA HAI? (YES OR NO)
***************************************************************************

Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  ab hukke bhi baat pe ao to bhai Tambaku aur...
Maine apse yehi bola tha.....ham tuchh jeevo ke liye ek bhaari karam hai ki kisi sache sant ke koi bhi kaam par ungli uthate hai...usse puchte hain...tumne ye kyun kia,ham bhi karenge....bhai sant to jeevo ke karmo ka bhaar uthate hai..lekin koi ye nhi bolta ham uthaenge...

Mujhe dohe ka gyan nahi chaiye....lekin apko jaroor iss gyan ki zaroorat hai ki ye sab dohe aur panktiya...santo ne, insaan ke liye likhi hain...insaan ki atma maili hai...usko sudharne ke liye likhi hai...swami ji maharaj param dham se aye the...param sant the....unke baare mein question karne ka na kisi ko hak hai na ungli uthane ka....
khaas taur se apko....jisne ek guru mein bina apne doubts aur question clear kare naam lia ho aur fir apne mann ko itna bhi control mein na rakh saka joki usse bhatkake ek aise insaan ke pass le gya jisse irshya se bhare shabad bolne ke liye jana jata hai...uske gun kund se kund bhuddhi bhi samajh jaye...lekin fir yehi baat ati h...apki destiny mein hai ye...mann aur kaal ka jor hai...agar apne naam lia hai to aapki pareeksha le rahe hai satguru...jis jeev ko naam dete hain usse jane nhi dete...yaad rakhna aaj nhi to kal..kal nhi to parso....wapis aoge yahin aoge...kyunki jiss sant se naam lia..woi beda paar karvaega...apna time waste krte raho iss duniya ke dhakoslon mein...
*******************************
EK BOOK SANT KABIR RSSB SE PRKASIT HAI SIXTH EDTION 2004

PAGE NO. 113 PADO

JO RSS ME 2.30 HOUR SIMRAN KRNA AND ANKH KAN BAND KRKE DHYAN LGANA BTATE HAI

US KE BARE ME PAGE NO 194 SHBAD NO 12 PAGE NO 224 SHBAD NO 61 PADO AND SOCHO

AAB ETNE PRMAN DEKH KR BHI AAP NA MANO TO MAIN KYA KHU


Mujhe abhi ye books available nhi hai...to aap hi apne pages aur quotes batado jo in books mein likhe hain apke according....

fir yehi baat ati hai...insaan ki pravritti hi aisi hai ki maan badai aur haume itni bhari hui h mann aur kaal ne ki vo santo ki baani,shabad,dohe aur dharmik books ko insaan apne taur tareeke se failata hai..jisse usse khud ki ya apne group ki tarakki mile..naam ho....christ ke samay bible mein bhi yehi hua tha....bible, christ ke 200 saal baad likhi gyi thi....lobhi aur darinde insaano ne usmein se kai anek aise ruhaniyat ke raaj nikal diye jo unhe ache nhi lagte ya unke anusaar nhi the...lekin fir bhi bible mein kaafi sare aise indications hain jo naam ki kamai aur dasam dwar ki taraf ishara krte hain.!!! Par insaan ko aaj bible padhke bhi uske asal gyan ka nahi pata

Jyada door na jakar kuch saalo pehle se aap sacche param satguru nanak dev ji
ke gyaan ki baat hi le lo....vo bhi yehi msg dete the ki naam ki kamai kaise krni hai...unke chola chordne ke baad 5 guru jan tak to sab theek raha sabne milke shri guru granth sahib likhi jismein purn gyan hai aur pooori granth mein bahara hua hai naam ki kamai ka adesh...lekin kya tha bhagya mein pata nahi ki dasve gurujan ke baad kaise jeevti guru ka sach vilupt hogya aur sikh religion shri guru granth sahib ke asal gyan se vimukt reh gya...iss sab mein bhi malik ki karni aur adesh hoga..jo uski marji..vahi hota hai..

haan jo pramaan ki baat kr rhe ho vo jaroor batao...

****************

sach usse kehte hain jiske peeche buniyaadi facts ho...jiske proof ho...jisko present mein criticize krke clarify kara jae...

jab RSS mein ye bola jata hai ki murti puja nahi krni chaiye to naa to RSSB/BABAJI kisi murti puja karne wale ke ghar jakar ya usko apna gyaan thopte hain aur na hi kisi sthan par ya media mein jakar ye baat bolte hai....ye sach unke liye hai to satguru aur naam ke gyaan ko sache dil se swikar krna chahta ho ....log satsang apni marji se sunne ate hain unko kheech kar nahi laya jata....aur haan yehi baat ap par lagu hoti hai...apko koi hak nahi hai RSSB ya yahan ke kisi bhi GURU jan pe question uthane ka....ye forum jo unofficial hai aur jiska unofficial naam RSSB discussion forum rakha gaya hai uspe aapne akar apna 'sach' bakhaan karne ki koshish kari...vo bhi ek jhooth se (''main naya hu'')...apko kisi rssb ke satsangi ne na to pucha tha...na apne rai/marshwara manga tha.... to bhai jab apke mann mein hi buniyadi jhoot hai to sach kahan se samjhoge? Aur agar RSSB chordke aap kahin aur chale gaye ho...to bhai udhar dhyan do...parmarth mein dubara lagne ki koshish kro...kisi aur ke kaam/personality pe kyu ungli uthate ho!!!mann maila hai...satguru aur santo pe vishwas nahi krne deta...komal nahi hota...isilye apko 'ninda' aur is kukaram ko sach batana samjha rha hai....Sab karmo ka khel hai...
*********************

1. Naam daan lene kya shauk shauk mein gaye the? Jab iss buniyaad gyan par sawal karte ho...ya ab sach batado ki naam RSSB se kabhi lia bhi tha ya nahi..aur fir liya tha to kya dekha tha...kya padha tha! Yehi baatein apke dawe pe doubt karvati hain

Iss questn ka answer apko bhi pata hai mujhe bhi

2. Sach ka maine upar bataya hai....aur ninda wo hai jo aap kr rhe ho....apko kisine na invite kra...na critic banaya...na analyse karne ko bulaya....aur na hi koi adhikar diya ungli uthane ka!! To fir kis right aur base pe apne questn(ninda) kari

apni definition sahi karo aap ninda aur sach mein differentiate krne ki...apke 'tatv' gyan mein dhoondo mile to!

3. Bhai ji nahi padhe hain ye shabad...kuch sune honge bas...waise aapko inse gyaan mil rha hai to apka bhagya...mujhe jeevit/in flesh guru se gyan mil rha hai...jo koi dhakosla nahi krte...jhoote wade nahi krte ya maan badhai nahi krte...saaf bolte aye hain RSSB mein for more than 150 years ki naam ki kamai karoge...jaise guru batate hain to hi moksh milega...warna kahin aur nhi hai moksh...yehi rasta hai..

haan ye shabad aur vani jaroor lete hain aur uska sahi sahi arth satsang mein samjhate hain jo fir insaan pe chord dia jata hai experience krne ko...naam ki kamai hogi..tabhi experience hoga....

RSSB mein log sirf bato mein akar astha nahi rakhte....unko internal experiences hote hain...tabhi astha aur badhti hai...aur jo log shuru mein apne raste se bhatak jaye ya jinhe ye nahi pata hota hi parmarth aur roohaniyat koi halwa poori nahi hai jo banai aur gapp......croro janmo ke karam karte hai simran se aur jab jeev pakka vishwas karta h satguru pe tab dasam dwar khulta hai!! Yaad rakhna ye baat
******************

finally har reply mein dodge kar rhe ho !!

apse dubara puch rha hu....vo question kya the! Jiski talaash mein apne RSSB chorda?
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Maine apse yehi bola tha.....ham tuchh jeevo ke liye ek bhaari...
DOST IN BATO PR GOR KRO
1 MAINE RSSB KE BHAR KI BOOKS SE AAP KO LIKHA
AAP NE NAHI MANA
2 MAINE RSSB ME LOGO KE ANUBHAV LIKHE
AAP NE NAHI MANE
3 MAINE RRSB KE BOOK SE AAP KO LIKHA
AAP NE NAHI MANA
4 MAINE AAP KO SHBAD PADNE KO KHA
AAP NE NAHI PADE
5 MAINE AAP KO MURTI PUJA KE BARE PUCHA
AAP NE JWAB NA DEKR BHOT BADA TOPIC LIKH DEYA
6 MAINE AAP KO QUESTION LIKHE
AAP KO SHYED NJAR NAHI AYE

DAAT DETA HO AAP KI SOCH AND SMAJH KO
AGR MAIN YHA KOI MISAL LIKHO TO AAP BHDK(ANGRY) HO JAO GE JO MAIN NAHI CHATA.
Mere question unhi shbdo main hai phile padna fir mujh se question puchna.
--------------------------------------------
1. Naam daan lene kya shauk shauk mein gaye the?

US WAKT YE GYAN NAHI THA SIKE KA SIRF EK PHLU HE DEKA THA OR NA HE DHARMK BOOKS KA GYAN TH (AAP KI TRA)BILKUL AAP JESA KISI OR KI BAT NAHI SUNTA TAH.
------------------------------------------------------------------------
haan ye shabad aur vani jaroor lete hain aur uska sahi sahi arth satsang mein samjhate

AAJ KE BAD AAP SATSANG SUNNA JO SHBAD ME PRMATAM KE BARE ME AATA HAI TO US KA AARTH NAI KRTE

.apko kisine na invite kra...na critic banaya...na analyse karne ko bulaya....aur na hi koi adhikar diya ungli uthane ka!! To fir kis right aur base pe apne questn(ninda) kari

YE EK OPEN FORM HAI FORM SANCHALK NE SB KE LIYE IS KO CHLA RAKHA HAI
IS FORM ME BHOT LOG HAI JO BHOT GALI LIKHTE HAI PR MAINE ESA KUCH NAHI LIKHA

Mujhe abhi ye books available nhi hai...to aap hi apne pages aur quotes batado jo in books mein likhe hain apke according....

AAP SANT RAMPAL JI KE SATSANG JO NET PR HAI JA GYAN GANGA BOOK MANGWA KR NISHPAKSH BHAW SE PRD LO SAB PTA LG JYGA

Yaad rakhna ye baat
YAAD TO RAKH GA KE MERE BHAG AACHE THE JI MENE RSSB CHOD DEYA
NAHI TO KAAL KE 5 NAM KA SIMRAN KR K KAAL KE MUKH ME CHLA JATA
--------------------------------------------------
vo bhi ek jhooth se (''main naya hu'')...
JB KISI SE US KE MAAN KI BAT PUCHNI HOTI HAI TO PUCHNE WALA YE NAHI BOLTA KE ME YE JANTA HO US WAKT AAPNE KO ANARI OR NYA HO BOLNA PADTA TA JO WHO THEEK THEEK AAPBE MAAN KI BTA SKE
ES LIYE SAB NE TAMBKI KE BARA ME PHELE THEEK LIKHA FIR BAD ME KYA HUA AAP JANTE HO
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  DOST IN BATO PR GOR KRO 1 MAINE RSSB KE BHAR...
1.
kai 100 saal pehle ki books ka asal gyan aap ko hi mubarak

2. bhai kaunse anubhav? Kis experience ki baat kr rhe ho? Jitne satsangi hai sabne babaji ki daya dekhi hai...use apni life mein mehsoos kia hai...bohot si unexpected aur unatural batein hoti hai..lekin sirf unke saath jo pakka vishwas rakhte hain...aur kitna bhi bolo...apke ye bolne se ki 30 yrs apprx. Aap RSSB mein rahe aur sache mann se vishwas rakha..firbhi kuch nahi mila to KORA JHOOT bolte ho...
3. maine to apse kaha hai...aap yahan likho vo baat jo bolna chahte ho....mujhe refer mt kro...jo quotes ya lines likhi hai...vo yahan likho

4. shabad se gyan aap lete ho..main experience aur guru ki presence se leta hu

5. apki buddhi hi aisi ho gayi h sirf kitabi gyan se
ki apko kuch baat batao to samjh nahi ati kyunki ek mental barrier bana hua hai RSSB ke against...

6. apne jo question likhe shayad unhi ka answer apko diya tha last post mein...woi samjh nhi aye? Wah balki main apki soch samjh ko daat deta hu jo samjhna nahi chahte

bhai sahab main nahi bhadakta....koi misal do chahe jo...apke karam aur kaal ka jor hai

Apko kya etraaj h directly vo questions yahan likhne mein? Kaunsi sharam h usmein?
--------------------------------------------

1.

Bhai sahab gyaan bakhaan duniya karti hai.....maine experience karke fir books padhi hain...joki sirf shb aur gyan se nhi bhari hai...real examples aur sach mein doobi hai....baba ji mein vishwas rakhne wale unki daya meher daily aur mauke mauke par experience krte hain...yeho reson hai RSSB mein logon se vishwas ka------------------------------------------------------------------------


to bhai maine aur kaunsi baat boli?? Log hai gali dete hain...unke karam unke saath...
apko yehi bataya tha ki sant ki ninda kya hai...apko jab difference bata dia to track change mat karo!! Kaan ko seedhe pakdo ya haath ghuma ke....pakda to KAAN hi na!! Apni ninda ko sach ka bakhaan boldo to usko aap hi mano sach...vo ninda thi hai aur rahegi

apko meri baatein story isiliye lagti hai kyunki apke 'sant baba' ne apko ek bohot chalaki se ghol banake ghutti piladi...granth pothio ka hawal deke...jis din apni presence apki sabse mushkil ghadi mein dikhade vo..uss din batana.


Bhai aise insaan ko kyun sunu jo budhape mein akar bolta hai ki main 'tulsi das' ji ka avtaar hu? Aur apko yeh keh kar bhatkata hai ki abhi tak khoj kar rha tha isiliye time lag gaya..budhape tak apna gyan badha rha tha...bhai agar ye tulsi sahib ka avtaar hote to bachpan se hi apna roop dikha dena tha!!!
'poot ke pav palne mein nazar ajate hain' iska sahi sahi praman...sant aur mahatma bachpan se kar dete hain...guru nanak sahib....swami ji maharaj the...baba jaimal singh ji the...sabke bachpan ki baato ko padha hoga apne!!...satguru ya sache santo ko media nahi chaiye hota apna prachaar krne ke liye...channelo pe nahi ate ve
-----------------------------------
yaad to aap bhali bhaati rakhoge....jo matlab ye ''sant rampal'' ne apko bataya hai uske bilkul ulta hai...apko iska matlab sach isiliye ye lag rha h kyunki mann iss insaan ke kapat ko nahi samjhpa rha...apko 1 ghisi piti ek baat pakda di...jo ki sikh RSSB ke bare mein karte hain kyunki chird aur irsha ke agey unki nahi chalti....baaki sikh bhaio ko jab asal gyan dikhta hai jo SGGS mein hai aur uska sahi matlab babaji batate hain to vo RSSB mein ate hain..yehi main reason h sikh prant ke akrosh ka....ab apke ''sant'' rampal usi baat ko apna moto banake chahte hai ki unki batori hui sangat unse door na ho.....isiliye aye din kisi na kisi panth ke upar tippani krte hain...bhai sant ka kaam apne jeev ko udhharna hai apni jeevani, bhasha aur prem se.....jo uske lekhe mein jeev h..jisko use taarna hai...usko apne paas bulane ke liye hawale...books.dohe inki jaroorat nahi padti...'sant' rampal ko ruhaniyat ka ''a b c'' nahi maloom hai...ye book se seekhe hain book mein jeeyenge aur usko padhte hue apni deh vyarth karenge... Ye dhoka jo bhole bhale haryana rajya ke logon ke saath ye kar rhe hai..inko karam uthane padenge iss bhole logon ke.... Pakhand aur santmat mein jhoot insaan ki durgati ka karan hota hai....aap swami ji ko bolte ho ki starting hi khrab thi fir wahan se apko gumrah krdia jata h ki 5 naam kaal ke hain....fir wahan se apko 21 brahmando ka hawala dia jata hai...bhai ye jaal bunn kar baithe h apke 'sant' rampal.....kisi sache sant pe ye danga fasad krne ke karam aur case nahi bante....ye sab pakhand krne walo ke kaam hain..
--------------------------------------------------

vo bhi ek jhooth se (''main naya hu'')

ab yehi baat se dekhlo....jo jawab aap de rahe ho...vo ek koshish hai apne ko sacha aur sahi dikhane ki...kyunki pichli replies mein apko jo AINA dikhaya hai usse bhaag to sakte ho nahi...woi baat ati hai...kaan seedhe pakdo ya haath ghumake...pakda to kaan hi!! Jhoot se hi shurvaat kri aur ab is jhoot ki daleele de rhe ho...hooke wali baat koi nayi nahi h jisko nikalne ki koshish krni padti...
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  1. kai 100 saal pehle ki books ka asal gyan...
Apko kya etraaj h directly vo questions yahan likhne mein? Kaunsi sharam h usmein?

Mujhe koi sharam nahi Chlo btao fir

1 Prmatma kaisa hai ?

2 guru ke bina mokash possible hai ?
3 AAP 5 NAM SE SACH KHAND JANE KI BAT KRTE HO , IN LINO KA ARTH KRO

Shbde kaal klandar khiye shbde bhrm bhulaya
5 shbad ki aasha me srvs mool gvaya

Usi sahbad me aage likha hai

9(NINE) NATH SIDH 84 PANCH(5) SHBAD ME ATKE
MUDRA SAADH RHE GHT BHEETR FIR UNDHAY MUKH LTKE

Ye line SANT KABIR JI ki vani se hai kisi aam sant ki na janna
.---------------------
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  1. kai 100 saal pehle ki books ka asal gyan...
DOST RESONABLE JI AAP KHA HO BSS DO LINENO KA ARTH NAHI HUA ABTAK AGR AAP SE NAHI HUA TO AAP KE BHOTH SE SATSANGI DOST HOGE UNSE PUCH KR DEKH LO .
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Apko kya etraaj h directly vo questions yahan likhne mein? Kaunsi...
Main iss topic ke bare mein bhool gaya tha....notification bhi nahi aa rhe the
****************************

1. santmat ki books mein padha hai ki Paramatma ne insaan ko sabse uchi yoni ka darja diya hai aur apne swoorp pe hi iski rachna kari hai..
shabd roop mein paramatma iss lok mein prakat hota hain...iske agey to bhai upar jane pe hi paa chalega.

2. guru ke bina mokash possible waise hi hai jaise bina patvaar ke naav mein sagar ko paar karna...arthat impossible

uske reason ye hain ki upar ke mandalo mein se pehele 3 par kaal-maya-mann ka vash hota hai...kaal ka vash teesre mandal tak hai... satguru mein power hoti hai uske agey teesre mandal se paar le jane ki....kai rishi muni jo bina guru ke sahastra-dal-kamal pohonche hai...ve wahi atak jate hain...kyunki mann aur maya ki shakti unhe 'haume' ke jaal mein bandh deti hai....apne ko sabse upar samjh kar ve...iss lok mein akar saari kamai luta dete hain.


birle hote hain binn guru wale jo 2 ya 3 mandal tak jate hain...uske agey bina guru ke badhna possible nahi hai..

soami ji maharaj ki benti (karu benti dau kar jodi..) mein hi ata hai
"teen chord chauthaa padhh deena..satnam satguru gat cheena"
matlab satguru hi teesre mandal se paar leja sakte hain...



3. mujhe dohe aur shabd ki vyakhya nahi pata..ye jante ho

aur maine aapse bola tha WOHI QUESTION likho jinki wajah se aap gumrah hue the.....ye question uss time nahi aya hoga jab RSSB mein the..ye shabd apne tab suna hai jab aap bhatak chuke the aur apne abhi ke "guru" se sun chuke ho...

************************

bhai apko bola hai....sant kabirdas ji sache sant the...maine kab doubt kara?

aur ye bola hai ki pehele ke samay mein lagbhag har sant paheli mein shabd likhte the...kyunki agar ve seedhe seedhe prachar krte to bohot se zulmi raja aur log unhe dukh pohchate.....


iss shabad ka jo bhui arth ho lekin 5 naam ke baar mein jo apko bhatkaya hua hai apke abhi ke guru ne....bas paramatma se benti karo..sahi marg darshan dubara karein....baksheesh maango daya aur meher ki...
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Main iss topic ke bare mein bhool gaya tha....notification bhi nahi...

1. santmat ki books mein padha hai ki Paramatma ne insaan ko sabse uchi yoni ka darja diya hai aur apne swoorp pe hi iski rachna kari hai..

BHOT AJEEB BAAT KRTE HO SATSANG MAIN BABA JI (RSSB WALE) YE BTATE HAI US PRMATMA KA KOI RANG ROOP AND AKAR NAHI HAI

birle hote hain binn guru wale jo 2 ya 3 mandal tak jate hain...uske agey bina guru ke badhna possible nahi hai..
soami ji maharaj ki benti (karu benti dau kar jodi..) mein hi ata hai
"teen chord chauthaa padhh deena..satnam satguru gat cheena"
matlab satguru hi teesre mandal se paar leja sakte hain...

MERA ? HAI SWAMI JI MAHA RAJ KA GURU KON THA ?

mujhe dohe aur shabd ki vyakhya nahi pata..ye jante ho

AAP KO BENTI KE ARTH ATE HAI?

EK KHAWAT HA KBOOTR KE AAKNH BAND KR LENE SE CAT CHALI NAI JATI
ESI TRHA YE BOLNE SE KE MUJHE DOHO KA ARTH NAHI AATA AAP SACHI KO JUTHLA NAHI SAKTE AAP VANI KA ARTH RSSB KE KSI PURANE PRECHAR SE KRWAL LO SHYED US KO PTA HO.

ES ME AAP KA KASOOR NAHI MAIN BHI PHLE (JB MAIN RSSB MEAI THA) DOHO AND VANI KA ARTH NAHI KR PATA THA


.....ye question uss time nahi aya hoga jab RSSB mein the..

JB TAK KOI GYAN NA DE (PRMAN KE SATH) TB TAK HR KOI APPNE PATHRO KO BHI HERA HI SMJHTA HAI GYAN HONE KE BAAD WHO UN PATHRO KO TJORI ME SMBHAL KR NAHI RAKHTA
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  1. santmat ki books mein padha hai ki Paramatma ne...
1. Haath kangan ko aarsi kya...padhe likhe ko farsi kya....jab pata hai to fir kyun fizool mein apne ko itne fasate ja rhe ho??

Inn baato ka raaz agar iss lok mein dhoond rhe ho to lage rho...

Hathras ke hane hue sant shri tulsi sahib ji ne soami ji maharaj ke janam se pehele hi unki family ko bata dia tha..ki soami ji maharaj jaise satguru...seedhe dhur dhaam se ate hai...aur unke ghr janam lene wale hai...to soami ji ka guru koi nhi tha...

jaisi ki guru nanak sahib ji ka koi guru nahi tha... satguru seedha dhurdham se is lok mein jeevo ka uddhar krne ate hain..!!



2. Hahaha yehi baat aap par lagu hoti hai...mjhe benti ka arth ata hai...dohe aur shabad ka nahi...sab ek taraf ishara krte hain...ek maksad hai...to mjhe nhi lagta mjhe isse jyada samjhne ki ya matlab janne ki jaroorat hai....ye aankh moondna nahi hai...ye self experience hai..

Apka vishwas kabir sahib pe isliye hai kyunki apne suna hai...logon se..books mein...history mein hai santo ki...SIRF suna hai kabir sahib ke bare mein...unki books padhi hai sirf...dohe ka matlab nikalne aur apni buddhi se samjhne ki koshish kari h....lekin jeete jagte unko experience nahi kra...ek dhakosla krne wale insaan ne apko 4 baate kabir sahib ki jord kar batadi aur apka yakin hogya ki haan yehi sach bolta hai....


"mjhe RSSB mein kuch nahi mil rha to kyu na udhar chala jau"..bhai sab karmo ka khel h....milna bhi tab shuru hota h jab simran bhajan se karam krte hain....


jab tak koi gyan na de....arey gyan to RSSB mein bhi mila tha....praman to mann mangta hai....jisse ki insaan bhatak jae...mann ko pata hai ki karm nidhaan h roohaniyat....karam katenge...tabhi parda khulega...aur puri takat se bhatkata h ye mann...aap bhatak gaye...paramatma daya kare ap par!!

Jaise sikh bhai SGGS ko rat-te hain bina uska asal matlab jane...waise hi apko dhoka hai...asal matlab nahi pata hai...bhatak gaye ho.....


ye socho ki kya kabir sahib hi anokhe the?? Jo kehte the ki 5 naam kaal ke hain!! Bhai aneko sant mahatma ne ye vachan apni vani aur dohe mein likhe hain...ki 5 naam se hi mukti hai....jyada door na jao to guru nanak shib ji ko hi maan lo....ya to unhe bhi aap boldo ki kaal ke naam the jo 5 naam ka prachar ve krte the....

chalo jis din paramatma ki marzi hogi...rah pe le ayenge dubara
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  1. Haath kangan ko aarsi kya...padhe likhe ko farsi kya....jab pata...
Soami ji ka guru koi nhi tha
. guru ke bina mokash possible waise hi hai jaise bina patvaar ke naav mein sagar ko paar karna...arthat impossible


ES SANSAR KO BANE WALE KA RULL HAI ES LOK SE PAR JANE KE LIYE GURU KI JRORAT HAI GURU KE BI(AAP KE SHBDO ANUSAR JO GYAN AAP NE SATSANGO SE LEYA JO BILKUL SACH HAI)

VANI HAI

RAM KRISH SE KON BADO TIN HO BHI GUR KEEN
TEEN LOK KE NYKA GURU AAGE ADHEEN

RAM KRISHAN KO WAPS APNE LOK JANE KE LIYE BHI GURU BANANA PADA

kya kabir sahib hi anokhe the?? Jo kehte the ki 5 naam kaal ke hain!!


DOST KABIR JI HE NAHI SANT TULSI SAHIB JI BHI YHE BOOL RHE HAI

PANCHO NAM KALL KE JANO
TB DANI MANN SHNKA ANO

NAHI YKEEN TO EK BOOK GHAT RAMYAN PART1 PAGE 27 DEKHLO
PHLE YE BOOK RSSB KI LIBRARY MEIN MIL JATI THI ABB SHYAD NAHI DETE
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
resonable
Replied to:  Soami ji ka guru koi nhi tha . guru ke bina...
Dekho...jab ek "Hath" karne wale vyakti ke agey koi logic rakha jae to vo rattu tote ki tarah usse rat-ta rehta hai..

vohi haal apka hai....maine bataya Soami ji maharaj aur Guru nanak sahib ke koi guru isliye nahi the kyunki ve seedha dhur dham se aye the...paramatma jab guru vesh mein ate hain to unhe guru ki jaroorat nahi hoti..kyunki Guru se naam leke karam kate jate hai jisse parda khule aur upar ki chadai ho...jab paramatma khud apan ansh iss lok mein..apne ghar se bheje to usse guru kya jaroorat!!!

swami ji ko aap na mano...guru nanak sahib ko bhi jhutla do firto?? hai jawab iska?

********************************************

pehele bataya hai ki sant bhi wahan tak leja sakte hain jahan tak ve khud gaye ho...param sant\saturu ve hote hain jo param dham ki pohoch rakhte hai

swami ji maharaj aur guru nanak sahib ki "lineage" mein vo shakti hai. kyunki koi bhi purn sant apna ansh chord kar hi chola chordte hain...aur apna ansh jab purn satguru chorde to ve adhoor nahi hota....unki pehchan hoti hai ve ansh....

****************************************


aap fir vani mein a jate ho..isilye apko ek "hath" karne wala bola hai maine.

Vani to sachi hai lekin uski vyakhya apke dimag mien galat dali gayi hai....shabd lagte honge apne arth anusar...lekin yehi shabad kabir sahib aur tulsi sahib ne jiss matlab se kahe honge...usse aap aur apke "guru" ne jo roop diya hai..ve galat hai.

****************************************

Mujhe jaisa lagta hai...vo to yehi hai ki apko tab tak yakin nahi ayega..jab tak iss lok se jane ka samay nahi ata...usse pehele paramatma aur baba ji ap par daya kare...

Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
kajee
Replied to:  Dekho...jab ek "Hath" karne wale vyakti ke agey koi logic rakha...
Soami ji maharaj aur Guru nanak sahib ke koi guru isliye nahi the kyunki ve seedha dhur dham se aye the
swami ji ko aap na mano...guru nanak sahib ko bhi jhutla do firto?? hai jawab iska?

GURU JI KI KIRPA SE AAP KI HR BAT KA JAWAB HAI AGAR AAP MANO TO.

AAP KA YE ADHURA GYAN HAI KE GURU NANK JI KA KOI GURU NAHI THA SHRI GURU NANK JI KHUD BALA AND MRDANA JI KO BTA TE HAI KE UN KA GURU JINDA BABA HAI ES KA PEMAN EK BOOK (BHAI BALE DI SAB TO WADI SAKHI) ME PADLO EK LINK DE RAHA HO US KO DEKHO

http://www.youtube.com/watch?v=MP0OIgyQZcE
http://www.youtube.com/watch?v=UwAROnKqaRo
JRA SOCHO JO SANT GURU KI BHOT MEHMA KRE OR KHUD GURU DHARN NA KRE ESA KESE HO SAKTA HAI?
ES SE HI PATA CHLTA HAI KE AAP KO SIRF LOKVEAD(SUNI SUNAE BATE) KA GYAN HAI APNE ASLI GRANTHO KA NAHI AND RSSB TO KYA SARE SANSAR ME KHI BHI NAHI MIL SAKTA SIRF SATLOK ASHRAM BRWALA KO CHOD KAR




...lekin yehi shabad kabir sahib aur tulsi sahib ne jiss matlab se kahe honge...usse aap aur apke "guru" ne jo roop diya hai..ve galat hai.

TO FIR AAP HI LIKH DO EN LINO KA KYA ARTH HAI

SHBDE KAAL KLANDAR KHIYE SHBDE BHRM BHULAYA
5 SHBAD KI AASHA ME SRVS MOOL GVAYA

9(NINE) NATH SIDH 84 PANCH(5) SHBAD ME ATKE
MUDRA SAADH RHE GHT BHEETR FIR UNDHAY MUKH LTKE

PANCHO NAM KAAL KE JANO
TB DNI MAAN SHANKA AANO
Save
Cancel
Reply
replied to:  kajee
minhas
Replied to:  Soami ji maharaj aur Guru nanak sahib ke koi guru isliye...
Kajee apka guru kon hei bhai ???
Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
Nkbansiwal
Replied to:  rajeevanand1 06/05/13RADHA SOAMI JI (1) Agar hum kisi bhi...
Ans.1

khushi se khilaya gaya khana(eat) enka koi kram nhi banta
..

ans.2

pyar se samjhna chahiye or phir halato ke upr hai ...

koi ap ko gali de to asan hai dubara jawab mai gali dena but

muskil kam hai chup..

ans.3

ek maa kahati hai beta pani vich hath na daal , bimar ho jayega
bacha manta nhi hai , bimar ho jata hai
DR. ke pass gaye DR. kaha tej bukhar hai
Injection lagana padega , maa kahati hai thik hai
bacha soch ta hai ,meri maa mujhe dukh deti hai ....

char gawaya khand ke , char gawaya saam
prabh lekha mangsi, tu aya kede kaam



Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
vkwon1
Replied to:  Dekho...jab ek "Hath" karne wale vyakti ke agey koi logic rakha...
geeta mein insaan ko sadachaar sikhaya gya hai!! ye achi baat hai bt main geeta se koi bhavna nahi rakhta...Shri krishna...Shri Ram...Vishnu dev ke avtaar the aur fir shayad aap jante hi ho ki Devi/Devta kaal ke adheen hote hain....srishti ke sancharak hain...kaal ke nyukt kare hue hai...kaal ne jimmedari di hui hai inhe...devi/devta bhi Triloki se upar jane ke icchuk hote hai..satguru ko vo bhi taraste hai.unche karam ke bhogi hote hain..lekin insani chole se hi mukti sambhav hai...


Mr resonable ji aapke upper likhe lekh padne ke baad man me ek shanka hui ki aapki sanstha ka naam hi RSSB yani ki radha swami satsang vyaas hai jiska sidha arth yahi nikalta hai ki radha ji ke swami jo ki shri KRISHANA JI hai aur unkke bare me likhne wale grainth lekhak shri vyaas ji jinhone GITA JI namak granth ki rachna ki jo shri KRISHNA JI ke mukh ki baani hai !!!!!

ab Mr resonable ji yhan man me ek question uthta hai jab aapke satguru (krishna...Shri Ram...Vishnu dev) in sabhi devo se bade hai to aapne apni is sanstha ka naam in chote logo ke naam par kyon rakhha akhir kyon apne satgru ke naam par nahi rakkha ?????

shastaro ke anusaar nirakar parmatma ka jab koi aakar hai hi nahi tab vah satguru ke roop me kaise paida ho gya ?????
nirakar ka sahi shabdo me yahi aarth nikalta hai jiska koi bhi aakar parkar roop nahi ho phir usko shabd akshar ya naam me kaise bandha ja sakta hai ab ye naam 5 ho ya 50 ya carore ?????


sach ko kabi chupaya nahi ja sakta ved shastro me jo bhi jap naam mantra aadi ka gyaan diya wo sabhi ke samne diya gya shri KRISHANA JI ne ye kabhi nahi kaha ki jo mere paas aayga mai kewal usae hi naam gyaan doonga auro ko nahi, maha pursho ki yahi pahchan hoti hai unka sabhi kuch gyaan aadi sabhi ke liye khula hua hai kisi se koi bhedbhav nahi unhone kabhi nahi kaha ki pahle tum mere chele bano tabhi tumhe mai 5 ya 50 naam daan doonga.....

satya vahi hota jise kabhi bhi chupaya na ja sake.........

Save
Cancel
Reply
replied to:  vkwon1
resonable
Replied to:  geeta mein insaan...
Ab Mr resonable ji yhan man me ek question uthta hai jab aapke satguru (krishna...Shri Ram...Vishnu dev) in sabhi devo se bade hai to aapne apni is sanstha ka naam in chote logo ke naam par kyon rakhha akhir kyon apne satgru ke naam par nahi rakkha ?????

----RSSB ne kabhi Devi-devta ki ninda nahi kari hai...inn sabhi ko Uche karam ke bhogio ka darja diya gaya hai...

Naam rakhne mein chote bade ki baat kahan se agai? Radha ka matlab AATMA/SOUL aur Soami ka matlab MALIK/OWNER...

To apka kehne ka matlab hai ki Shri Krishna ji ki Radha jo thi unka ye Anokha naam tha..kisi aur ka naam radha nahi hua hoga kabhi? Aur bhai ye Naam kya rakha kya nahi..usse kisiko kya duvidha hoti h ?? Roohaniyat ka marg hai iski shiksha pe dhyan diya nahi apne


*****************************

shastaro ke anusaar nirakar parmatma ka jab koi aakar hai hi nahi tab vah satguru ke roop me kaise paida ho gya ?????
nirakar ka sahi shabdo me yahi aarth nikalta hai jiska koi bhi aakar parkar roop nahi ho phir usko shabd akshar ya naam me kaise bandha ja sakta hai ab ye naam 5 ho ya 50 ya carore ?????


----Bhai ji agar Paramatma ko samjhna aur unpe ullekh karna itna asan hota to har koi jeev usse pa leta aur iss 84 ke bandhan se toot jata

Paramatma agar apne roop mein iss Lok mein agae to is lok ka vajood nahi rahega...paramatma Isilye Ham bhule bhatke hue jeevo ko Wapis bulane ke liye ek "HAM-SWAROOP" ansh bhejte hain...jisse ki 84 ka jaal toote aur ham wapis Dhurdham ko chal pade

Kaise? Kintu? Parantu? Ye sab Mann ka khel hai... KAAL jor marta hai...bhatkata hai lakshya se.

Mujhe batado agar aaj tak kisiko bhi Ved Puran ya shastra padhke Paramatma mila ho to? Main devi Devta ki baat nahi kar rha.....Apne shayad suna hoga ki Krishna ji ne khud kaha hai ki mere jaise croro Vishnu Mahesh aur Brahma hain...jo apne apne Brahmand tak Seemit hai

5 Naam ka gyan to sadiyo se Sant purush dete a rhe hain....RSSB se pehele guru tulsidas ji...Shri Gurunanak Sahib ji..etc..etc
Sabne ek hi rah dikhai hai...lekin alag alag Bbhasha aur lehze mein

*****************************************

sach ko kabi chupaya nahi ja sakta ved shastro me jo bhi jap naam mantra aadi ka gyaan diya wo sabhi ke samne diya gya shri KRISHANA JI ne ye kabhi nahi kaha ki jo mere paas aayga mai kewal usae hi naam gyaan doonga auro ko nahi, maha pursho ki yahi pahchan hoti hai unka sabhi kuch gyaan aadi sabhi ke liye khula hua hai kisi se koi bhedbhav nahi unhone kabhi nahi kaha ki pahle tum mere chele bano tabhi tumhe mai 5 ya 50 naam daan doonga.....

satya vahi hota jise kabhi bhi chupaya na ja sake.........


---------Kaunse sabhi ke samne diya gya?

Devi Devta/Avatar ye sab Srishti ke sanchalak hain...Malik nahi hai...malik hote to sirf 1 ...jo ki KAAL hai...iss Lok ka malik aur Is lok ke sanchalak bhi KAAL ke adheen hain....Trikuti se upar nahi ja sakte...Guru aur Insani Chole ke Icchuk hote hain Devi-Devta...RSSB mein kabhi anadar nahi kra gya Devi-devtao ka


RSSB mein sirf ye kahan gya hai ki satsang suno..samjho aur fir apne Vivek se nishchya karo ki kya sahi hai kya nahi...kya sach hai aur kya dhoka..Guru use hi naam dete hain...jo uski kadar karne ke yogya ho...Bhai..Ek pita apni sammpati usi bete ko deta hai jise vo layak samjhta ho...hakdar to sabhi bete hote hain...lekin samay se pehele kuch nahi milta
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
vkwon1
Replied to:  Ab Mr resonable ji yhan man me ek question uthta hai...
Naam rakhne mein chote bade ki baat kahan se agai? Radha ka matlab AATMA/SOUL aur Soami ka matlab MALIK/OWNER...

radha ji ke to hazaroo naam hai aur unke arth bhi hazaroo hai

ab yadi aapke man me devi devtao ke prati itne shradha nahi hai to aap un devi devtao ke naam par apni sanstha ka naam kyo rakhte ho

sidhe sachhe roop me aapki sanstha ka naam yahi hona chaiye tha "atma ka malik kaal " kyoki aapke anusar sabka malik kaal hi hai

aakhir kyo janta ke man me ye bhraam paida kiya jata hai

aap jante hai ki har vastu ka tital bhaoot hi mahatvapurn hota kyoki tital se hi us vastu ka tatparya samajh me aa jata hai lakin yahan to wo kahawat chritarth hoti ki "hati ke daant dikhane ke aur khane ke aur"

aksar kaha jata ki jiski shuruaat hi sahi nahi hoti uska anth bhala kaise achha hoga

aap se mera anurodh hai ki aap in shabdo ka bura nahi manenge

mere kahne ka sidha arth yahi hai ki jab aapki sanstha satguru aur kaal ko sarvsristh manti hai to sanstha ka naam bhi sidhe sidhe satguru ya kaal ya malik aadi aise kisi bhi naam se aarmbh karna chaiye naki radha devi ke naam par

taki devi devtao ke bhkto ko gumrah hona na pade


--------Kaunse sabhi ke samne diya gya?


hamare shastro me hazaroo devi devtao ke naam diye gayi hai aap ko puri chout di gayi hai ki aap ko jo bhi achha naam lage jisme bhi aapka man lag jaye us hi naam ka simran karo koi bandhan nahi

kyoki aap jante hi honge sansar me har vykti alag hi pravarti ka hai, pancho unglia bhi ek saman nahi

kisi ko mitha pasand hai, kisi ko nakin, kisi ko kadwa pasand to kisi ko khtta, har vyakti ki shakal bhi alag alag hai

sansar me parmatma ki har banyi vastu me kuch na kuch antar rakha gaya hai to har jivo ki soch me bhi antar avsya hoga hi

har vyakti me alag alag visheshtaye hoti hai, koi kheti me nipun hai, koi shikshak me, koi doctari me, koi mistri me, koi vakalat me, koi badmashi me, koi netagardi, me koi adhyatmikta me to koi karam kandi me aadi aadi...

isi parkar parmatma ne apnee sarsti me sabhi jivo me kuch na kuch visheshtaye jaroor di hai kahi bhi kuch bhi nirarthk nahi rakha hai aur jo kuch bhi jara se nirarthk lagta hai use wo turant hata dete hai

ath vistar me na jakar yahi kahunga ki sarsti ka malik jab parmatma hai unhone hi yah sarsti banayee hai tab hum kaun hote hai unhe 5 naamo me samatne wale unke ke to annant naam haiannant bhav hai

sachhe man se jis vidhi se jis naam se unhe pukaroo wo usi roop me samnee hi dikhai padte hai.....
Save
Cancel
Reply
replied to:  vkwon1
resonable
Replied to:  Naam rakhne mein chote bade ki baat kahan se agai? Radha...
Ab yadi aapke man me devi devtao ke prati itne shradha nahi hai to aap un devi devtao ke naam par apni sanstha ka naam kyo rakhte ho

----1. Radha naam kisi devi ka nahi tha....apne facts clear karo pehele...krishan ji ki premika thi radha ji.

2. Ye koi sanstha nahi hai...yahan karobar nahi chalta...parmarth ka gyan diya jata hai...

**********************

sidhe sachhe roop me aapki sanstha ka naam yahi hona chaiye tha "atma ka malik kaal " kyoki aapke anusar sabka malik kaal hi hai

----kisne kaha sabka malik kaal hai? maine sirf is Lok ki baat kari hai....apne galat matlab nikala meri baat ka...aur apko kisne hak dia ki RSSB ke naam pe ungli uthao? na to Radha naam kisika Patent hai aur na hi kisi devi ka tha...

**********************

aap jante hai ki har vastu ka tital bhaoot hi mahatvapurn hota kyoki tital se hi us vastu ka tatparya samajh me aa jata hai lakin yahan to wo kahawat chritarth hoti ki "hati ke daant dikhane ke aur khane ke aur"

aksar kaha jata ki jiski shuruaat hi sahi nahi hoti uska anth bhala kaise achha hoga

aap se mera anurodh hai ki aap in shabdo ka bura nahi manenge

mere kahne ka sidha arth yahi hai ki jab aapki sanstha satguru aur kaal ko sarvsristh manti hai to sanstha ka naam bhi sidhe sidhe satguru ya kaal ya malik aadi aise kisi bhi naam se aarmbh karna chaiye naki radha devi ke naam par

taki devi devtao ke bhkto ko gumrah hona na pade

----- Apki baat ka bura nahi mana kyunki aap mera matlab nahi samajh paye.....pura topic padhiye upar se neeche tak...bohot si batein likhi hai maine....apko shayd answer mile ki KAAL aur AKAAL mein kya farak hai...

5 naam se AKAAL(paramatma) tak pahoncha ja skta hai...ye Dhunatmak naam hote hai....Varnatmak nahi jo hindi ya sanskrit se uttpan hue ho

Aur kisi devi devta ke bhakt ko gumrah nahi kr rha koi...sirf ek paksh rakhte hain RSSB mein..bohot soch vichar ke saath hi insaan 5 naam ki bakshish ko ready hota hai...

Ek baar Dera Beas jake dekhiye...mujhe kuch samjhane ki jaroorat nahi padegi

************************

bhai ji ye 5 naam koi insaan ke rakhe nahi hue...ye paramatma ke ansh hain..unka roop jo sant mahatma kai sadiyo se samjhate a rhe hain....meera bai ki bani suni hogi apne...."vastu amolak di mere satguru..."naam" ratan dhan payo"..jise Lata mangeshkar ji ne naam ko RAM samjh kar gaya tha

Shri guru nanak sahib ji param sant the...unka bhi yehi sandesh tha..5 naam ka simran...SGGS mein aneko jagah 5 naam ka gyan hai...


Ved aur Shashtra insaan ko Insaniyat sikhane ke liye hain...Asli roohaniyat ved aur shastro mein nahi milti
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
vkwon1
Replied to:  Ab yadi aapke man me devi devtao ke prati itne shradha...
navratri aarmbh hone wale hai ath main abhi koi tika tipanni nahi karna chahta samapti ke baad hi kuch kah sakta hu


bhai ji aapse meri prarthna hai ki aap is baar mata ji bhakti ras me doob kar to dekhe aage ka apne aap samajh me aane lagega....
Save
Cancel
Reply
replied to:  vkwon1
resonable
Replied to:  navratri aarmbh hone wale hai ath main abhi koi tika...
Apki navratri shubh ho..

bhai ji aap jis ras ki baat krte ho..usse main to janta hu...lekin jiss ras ki main baat krta hu usse aap nahi jante...sare duniya ke parde aur adambar khatam ho jate jab sach samne ane lagta hai...ye andhi shraddha nahi hoti...sacha Guru hasil karne wale jeevo ke saath jo ghatnae hoti hai...agar 1 bhi sun li to rooh kaanp jaegi
Save
Cancel
Reply
replied to:  vkwon1
resonable
Replied to:  navratri aarmbh hone wale hai ath main abhi koi tika...
????????????????????
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
vkwon1
Replied to:  ????????????????????
Bhahi ji aapki is ???????????????????? utsakta ko mai samajh

sakta hu

in 14 dino me aapko jo kuch anubhav mile ho mai unke baare

me kuch nahi kahunga wo sab aapki soch par nirbhar karta

hai

ab rahi aapki sanstha ke baare me usme bhi mujhe kuch nahi

kahana

lakin jab aap bhagwan shri krishan ji aadi ke baare me

kuch

is parkar ka parchar karenge to tab bada bura lagta hai

jaise ki aapke is upper likhe laikh me likha hai ki

"geeta mein insaan ko sadachaar sikhaya gya hai!! ye achi
baat hai bt main geeta se koi bhavna nahi rakhta...Shri
krishna...Shri Ram...Vishnu dev ke avtaar the aur fir
shayad aap jante hi ho ki Devi/Devta kaal ke adheen hote
hain....srishti ke sancharak hain...kaal ke nyukt kare hue
hai...kaal ne jimmedari di hui hai inhe...devi/devta bhi
Triloki se upar jane ke icchuk hote hai..satguru ko vo bhi
taraste hai.unche karam ke bhogi hote hain..lekin insani
chole se hi mukti sambhav hai..."

aapke is kathnanusar ham bhagwan ke bajaay satguru ka ashrai

le

jabki sach yah hai ki bharat to kya saare vishwa ki jaani

maani sabse badi dharmik sanstha " GITA PRESS GORAKHPUR"

ke parmukh dharmik sant lekhak "SWAMI RAM SUKH DAAS JI" ke

likhe in shabdo par bhi to

dhyan do bakin sab kuch aage samjh swyam hi aa jayega


".अगर सच्चे हृदयसे अपना कल्याण चाहते हो तो गुरु-
शिष्यका सम्बन्ध मत जोड़ो। गुरु बनानेसे आजकलके जमानेमें
कल्याण हो जाय- यह मुझे प्रतीत नहीं होता।
मेरी अज्ञता मानो या अभिमान, पर देखनेपर, विचार करनेपर
भी मुझे कोई गुरु भगवत्प्राप्त दिखता नहीं !- २८.९.९८,सायं ४
वृन्दावन

गुरु बनानेसे एक रत्तीका भी फर्क नहीं पड़ता। गुरु मत बनाओ;
बनाया है तो छोड़ दो और भगवान् में लग जाओ। लाभ
हो तो आपका, नुकसान हो तो मेरा ! अगर... गुरुको छोड़नेसे पाप
लगता हो तो वह पाप मुझे स्वीकार है! वह पाप मुझे दे दो और
आप निर्मल हो जाओ।-११.८.९७, प्रात: ८:३०, सीकर;
११.१.९९, प्रात: ९, सूरत

गुरु कल्याण कर देगा- इस ठगाईमें मत आना। इसमें धोखा है !
पहले ही फँसे हुए हो और गुरु मिल जाय तो गजब हो जायगा, और
फँस जाओगे! कोई गुरु मिल गया तो भाग्य फूट गया !-१७.१.९९,
प्रात: ९, ढालेगाँव

कुछ लोग कहते हैं कि जिसने गुरु नहीं बनाया, उसके
हाथका पानी नहीं पीना चाहिये, तो मैं कहता हूँ कि जिसने गुरु
बनाया है, उसके हाथका पानी नहीं पीना चाहिये! -९.१.०१, प्रात:
८:३०, हैदराबाद

जगद्गुरु भगवान् श्रीकृष्णके रहते हुए कोई निगुरा नहीं है। कारण
कि भगवान् श्रीकृष्ण जगद्गुरु हैं- ‘कृष्णं वन्दे जगद्गुरुम्’ और हम
जगत् के भीतर हैं, बाहर नहीं। भगवान् के सिवाय गुरु
को भी अपना मान लिया तो इससे बाधा लगी है, लाभ नहीं हुआ है।
मेरी सम्मति है कि आप भगवान् को ही गुरु मान लो,
किसी मनुष्यके फेरमें मत पड़ो।-२७.६.९९, प्रात: ८:३० एवं
२८.९.०१, सायं ३:३०, ऋषिके

Swargiya Swami Ram sukhdasji"


ab in jaise santo ki barabri to shayed hi koi birla vaykti

ya sant mahatma guru aadi hi kar payega

ho sakta hai aapko ye baate samajh me nahi aa paye aur aap

bekaar ki bahas bhi mujh se karne lage to iske baare mai to

sahi tahrah se nahi samjha paaunga

iske liye aapko in sant ki jivni tatha unke likhe sahitiya

granth aadi padhe to sach khud hi samagh me aane lag jayga

mai maanta hu ki aap par aapni sanstha ka bhoot chada hone

ke kaaran aap itni jaldi ise swekaar nahi karenge

kintu meri ab aapse pararthana hai ki jab aap bina kisi

bahas ke is sant ke sat sahitya padhenge to sach swyam hi

saamne aa jayega..................


Save
Cancel
Reply
replied to:  vkwon1
resonable
Replied to:  Bhahi ji aapki is ???????????????????? utsakta ko mai samajh...
Meri koi utsukta nahi thi...main iss topic ko bhool gya tha lekin notification dekha to fir msg kra.

mujhe 14 din ke anubhav nahi hai...bachan se sakshaat ghatitt ghatnao ke dam par hi vishwas paida hota hai...

meri koi mansha nahi thi ki apko bura lage...dil dukhana yahan mera maksad nahi hai.!!

waise main yahan kisi baat ka prachar nahi kar rha...ye forum hi bina RSSB ki permission ke discussion mein laga hua hai...aur yahan bhole bhale satsangio ko bhatkane wali batein karte hain log...to unka jawab deta hu.

bhai ji granth puran aur vedo mein agar paramatma ko khojoge to merse likhwake rakhlo koi labh nahi hona!! aur haan dharam insano ke banae hue hai..paramatma ne nhi!! to dharam adharam ki baat hi nahi ati yahan...haan agar aap devi devta ko pujte hain to ye apki astha hai, paramatma ko khojne ke liye to guide/guru chaiye.

Apne jin sant ka naam upar likha hai...kabhi ye pata karne ki koshish kari ki jab inhone guru ke astitv ko kharij kar dia to kya bina guru ke inhe paramtma mile?? Swami Ram sukhdasji bhajan kirtan ya Ram naam ke jaap ko hi sab kuch maan baithe the...sant/satguru ke baremein inki dhaarna isiliye bhi aisi ho sakti hai kyunki aaj kal guru banke stage pe baithne ka DHANDA karne lage hain log..

Jab apko RSSB ke bare mein kuch pata nahi ya aapne kabhi dekha nahi, to apko kya pata ki mujhe bhoot chada hai ya kuch sahi bhi ho sakta hai????

mujhe apse koi behes karne ki jaroorat hi nahi hai...apki baat waisi hi hai jaisa har dusra dharmic iinsan karta hai..bachpan se dharam ko sab kuch maan kar bhagwan se icha ya unhe khush karne mein laga rehta hai...lekin kabhi unki sachi khoj nahi karta...kyun kaal ne ye maya jaal hi aisa banaya hai...ismein kisiki kami ya galati nahi hai....bas itna hai ki jab apko lesh matra bhi gyan nahi radha soami satsang beas ke bare mein to ya to pehele dekhein ya fir koi dhaarna na banae.


Ye shayad apko thori help kar aur janne ke bare mein:

http://rssb.org/
Save
Cancel
Reply
replied to:  resonable
vkwon1
Replied to:  Meri koi utsukta nahi thi...main iss topic ko bhool gya tha...
Bhai ji aap se meri bhi prarthna hai ki aapko is sambandh me

aur adhik vistar se samjhne ke liye is website ko bhi aap

jaroor dekhe...


http://www.swamiramsukhdasji.org/
Save
Cancel
Reply
 
x
OK