Nirankari
Posts  1 - 8  of  8
umeshjad9702074145
Dhan nirankar ji,
Baba ji, batate hai ki santo ka jeevan kaisa hona chahi ye. i am try, but more than time i am fail. why?? please give me a answer.
Save
Cancel
Reply
replied to:  umeshjad9702074145
sonam28
Replied to:  Dhan nirankar ji, Baba ji, batate hai ki santo...
'Dhan nirankarji'...I donot know ki santo ka jiwan kassa hota h..But if u make an ideal guru, and always try to follow them then u will be success....Maan ka kaha na mankar guru ke adesh ko follow karo....
Save
Cancel
Reply
replied to:  umeshjad9702074145
SHUKLAROHIT
Replied to:  Dhan nirankar ji, Baba ji, batate hai ki santo...
Santo ka jivan according to baba ji , guru ke adeshoo ke anusar hona chaye, kyunki bhagti ki nahi jati ho jati hai,aaj jarorat hai gyan ko karam mein dhalne ki ,das ki family aur das khud bhi apne group ke saath babaji ki krupa se prachar pe nikal jata hai , aur hamara pura hafta prachar ka book hota hai, par fir bhi satguru ki rahmeto par jab yakida doulta hai to gyan kehta hai ki jab satguru karne vala moujoud hai to fir fikar karne ki jaroorat nahi ,kyun ki kisi shayar ne kaha hai ,ki insaan ki fitrat bhi andaaz se pare hai, ki barbakht khuda ko bhi banda samjhta hai.kehte hai ki gyan karm me dhal jay to jivan ka shingar bane ,is liye aapka prashan galat hai ki gyan ko jivan mein kaise utara jaye ,kyun ki gyan ko karm mein dhala nahi jata karme se gyan ko bataya jata hai.prachar ke dauran kayee aaise chije aate hai ki ek gurusikh sache patsha ke bare mein kya sochta hai ,par jawab gyan se milta hai ki nana shastro pade loka, nana devyanti poojnam,par pari atmgyanum vina hey partha surv karm nirarthakam.bhagwan sri krishna ji batate hai ki hey parth , khud ki pehchan ke beena kiye hoye sare karm nirarthak hote hai, jarorat hai khud ko pehchanane ki,is liye daas to kuch kehne ki shamta nahi rakhta ,bas samaye ki kami ke anoosar itna kahe ga ki guru aur gurusikh ka antar bhakti aur gyan ke prachar se he kum kiya ja sakta hai,aap iske jikar mein raho ye aapke fikar mein rahega.

dhan nirankar ji-ROHIT SHUKLA(AHEMDABAD-24/2/2010)
Save
Cancel
Reply
replied to:  umeshjad9702074145
lavkushshukla
Replied to:  Dhan nirankar ji, Baba ji, batate hai ki santo...
Dhan Nirankar Ji

Sab Se pahle karna chod do kyo ki jab hum karte tab kuch na kuch kami reh jati hai per jab nirankar karwa ye gha tab koi kami nahi rahi gi

bilcul samerpit ho jayo ache or bure se uper kuch mat socho ek hi ardas karo ki hai nirankar jaisa jiwan tue chai bana de .

Phir dekhna appne app sab kuch ho jaye ga

Lavkush shukla
9998470335
Save
Cancel
Reply
replied to:  umeshjad9702074145
samta
Replied to:  Dhan nirankar ji, Baba ji, batate hai ki santo...
Attend local sangat and try attending sunday's sangat....listen to the views of people and concentrate on babaji's vichar....dont over force your self....it will take time but doing sangat will change you....do not get dis-heartened if u fail....just do simran and ask for forgivness + promise urself that next time you wont repeat the mistake....i m sure you will make it soon..
Save
Cancel
Reply
replied to:  umeshjad9702074145
samta
Replied to:  Dhan nirankar ji, Baba ji, batate hai ki santo...
I would like to share a story with u.
1s baba avtar singh ji went to somebodys place for satsang..in speakers there was a small boy who shared a very beautiful story with the sangat.after the sangat that boy along with his father went to babaji for blessings.the boy's father told babaji "my son shares very beautiful stories with sangat but iska jeevan itna sundar nahi hai.ye stories toh bari mahaan sunata hai magar iske karam/rehene ka dhang itna mahaan nahi hai"....to this babaji replied..."while we plan to construct a building,hum building ka pura naksha(plan) paper pe banate hai, kahi baar usmain editing bhi karte hai,fir plan final karke, building banana shuru karte hai....kabhi aisa toh ni hota ke pehele building banae fir uska naksha ready kiya....theek ussi tarha aapka beta apni life ka naksha bana raha hai aise stories suna ke....dhere dhere fir ye apni zindagi es nakshe ke tarha bana lega"..."
aap bhi apne aap ko babaji ke hukum ke anusaar change karne ke koshish kar rahe ho....iska matlab aap apne dimag main apni life ka naksha bana rahe ho.naksha banane ke baad jaise building bunne main time lagta hai vese aapko bhi apne aap ko badalne ke leye time lagega....magar satguru ki kripa se jaldi hee aapko success milega...
i hope i have answerd ur question.
good luck 4 the efforts you are making to live your life as per the teachings of sath sangat and satguru
dhan nirankar ji
samta
Save
Cancel
Reply
replied to:  samta
SHUKLAROHIT
Replied to:  I would like to share a story with u. 1s baba...
Dear samta ji'
dhan nirankar ji;

agar baat sirf jeevan ko banane ki hai to ek baat to paki hai ki ja pur krupa raam ki hoi ta pur krupa kare sub koi
jub is rehbur ki krupa ho jaye to samjho ki sub ki krupa ke paatra aap ban gaye,jab aap aur hum apne aap ko rehbur ke charno mein samarpit kar denge to jeevan apne aap hi sudhar jayega ,kyun ki hum aur aap adhure hai aur yeh nirankar pura hai ,bhakti kabhi ki nahi jaati ,ho jaati hai,vishwas kabhi kiya nahi jata ,mere rehbar ko dekhkar vishwas apne aap ho jata hai.is liye hamare chinta ka vishay yeh kataye nahi hona chaye ki santo ka jivan kaisa hoona chaye balke yeh hona chaye ki ek vaikte sant kub bun pata hai ,abhi to hum insaan nahi bun paye sant banne ki baat to door hai,ki kise lekhak ne kaha hai ki gurumut ke raste ka mujhko pata nahi hai jaisa to chata hai jeevan banan nahi.aapke vicharo ka daas ko is vishay pur bekarare se intezaar rahega.

dhan nirankar ji.
Save
Cancel
Reply
replied to:  umeshjad9702074145
shilpamadan
Replied to:  Dhan nirankar ji, Baba ji, batate hai ki santo...
Dhan nirankar ji,

agar hum kisi se pyar karte hai to kisi ko kahna nhi padta ki uski baat mano..hume uski baat manna acha lagta hai,waise hi guru se pyar karte ho to automatic unki bat manne ka dil krega..unki bat manege to hume dunia ki koi tension nhi hai.kon kya kahta hai,kya karta hai,agar bura bhi krega hmare liye to hme fark nhi padega..so enjoy life wuth the blessings of nirankar...

shilpa
Save
Cancel
Reply
 
x
OK