Radha Soami Satsang Beas
Posts  1 - 2  of  2
pulkit47
Radha soami ji.......M Pulkit.....main poochna chata hu ki agar koi insaan naamdaani ni hai to kya wo galat karam kar sakta hai?......aur jo naamdaan le leta hai use kya galat karam bilkul bhi ni karne chaiye?
Save
Cancel
Reply
replied to:  pulkit47
rajatkwatra
Replied to:  Radha soami ji.......M Pulkit.....main poochna chata hu ki agar koi...
Dekho bhai galat karam to kisi ko nahi karne chahiye. Ye har kisi ke mata pita apne bacho se kehte hai. Par insan bada hokar mata pita ki bat bhul jata hai or galat karam karne lagta hai. Haan kuch log chote or cum galat karam karte hai or kuch bade or jyada galat karam karte hai.
Haan ye jarur bat hai ki jo mata pita ka bhul jate hai par unhe guru naam dan dete hai to ye expect karte hai ki use vahi shiksha dobara di jati hai ki vo galat karam na kare.
Parantu ye kewal sikh hai, aisa nahi hai ki naam dhari kabhi galat nahi karenge.
Ye insan ki samajh par nirbhar karta hai.
Kyonki duniya me caroro log bina naam dharan kiye huye bhi acha karam kar rahe hai or naam lene ki baad bhi kuch log bahut hi bure karam karte hai.
Save
Cancel
Reply
 
x
OK