Radha Soami Satsang Beas
Posts  1 - 3  of  3
rajeevanand1
RADHA SOAMI JI
(1) Agar hum kisi bhi satsangi ya non satsangi ke yahan chaye pete hai ya kuchh bhi khate hain,to kya uska hamara karam banega,wo humne karam utara ya chadaya.
yadi haan, to suna hai ki iss yoni mein hum purana karza chukane or bhogne ate hain.aur yeh bhi kaha jata hai ki dane 2 par likah hai khane wale ka naam.

(2) Agar hamne koi sahi kam kiya hai, uske bad bhi hame koi kuchh kehta hai to kya palat kar jawab ya samjhane ki koshish karni chaiye ya chupp rehkar jo kahe sun lena chahiye.
kyonki GEETA mein kaha gaya hai ki anyay karne wala bhi utna hi doshi jitna ki anyay sehne wala.

(3)hamari kismat(DHUR DHAM se jo likha hai) wo hamein milkar hi rahega chahe hum mange ya na mange.
yadi haan to kya uske pichhe humein bhagna chaiye ya nahi. kyonki kehte hai ki bina prayas kiye kuchh hasil nahin hota.



Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
rajeevanand1
Replied to:  RADHA SOAMI JI (1) Agar hum kisi bhi satsangi ya non...
Radha soami ji
pls reply for the same
Save
Cancel
Reply
replied to:  rajeevanand1
resonable
Replied to:  RADHA SOAMI JI (1) Agar hum kisi bhi satsangi ya non...
As per The books:

1. Bhai ji ek saakhi mein suna tha ki : ek baar kisi ne babaji se question kra ki main business conferences mein jata hu, jo bhi attend krta hai usse wahan diary aur pen milta hai note krne ke liye, lekin bohot baar aisa hota hai ki pen aur diary main apne saath le ata hu...to kya iska bhi karam chadhega? Babaji replied...Beta ji ek ek paise ka hisab dena padta hai upar jake... ek khet se dusre ke khet mein agar ek ann ka tukda bhi udd ke chala jaye aur vo apne kha lia to uska bhi hisab dena padta hai.....

YE sab kaal ki rachna hai....uske kaide kanoon aur niyam ko sirf wohi todd kar nikal sakta hai jise Puran Guru se milap hua ho.


2. bhai iss baat ka jawab iss Forum se acha kahin nahi milega....jitna dusre ko samjhane ki koshish karoge vo utna hi apni buddhi anusar tumhe galat bataega...haan agar thoda doordrashti ho aur tark vitark krne mein samarth ho to shayad baat samjhe...lekin paramarth ko samjhna mushkil nahi jabtak rudhivaadi soch na khatam kari jae.

3. apme sahi kaha...kismat mein jitna likha hai utna hi milega..usse na kam na jyada. dekho mehnat karne par hi hame hamari kisat ka milega....uske peeche bhagne se kya hoga? har cheez ka samay pehele se set kia hua hai....
Save
Cancel
Reply
 
x
OK