Mianwali District
MEGA PROJECTS(BARAY PROJECTS) SEY HUMAIN KIA MILLA
Posts  1 - 1  of  1
talokar10



“NAH SUMJHU GEY TU MIT JAO GEY AEY EHLAY ELAQA
TUMHARI DASTAAN TUK NAH HO GEE DASTAANOUN MAIN”

MEGA PROJECTS AFFACTED PEOPLES RIGHTS ALIGNS (MAPRA). JIS KAA MUQSAD UNION COUNCIL KHOLA (KHANQAH SIRRAJIA, NEW DING SHARIF, SAEED ABAD SHARQI (SAIFUN PULL), SAEED ABAD GHERBI (SAIFUN PULL), CHAH LAAL WALA, CHAH BALEY WALA, CHAH ZAMAN KHELAN WALA, CHAH SHAHBAZ KHELAN WALA, TAHIR ABAD, GOTH RAJPUT, HASHIM NAGGAR (SAIFUN PULL), BAKHARRA SHARIF, KACHA KALO, KACHA PAAR AOUR TAMMAM ELAQA JEHRRA BHEE CHASHMA BARRAGE AOUR PAEC(PAKISTAN ATOMIC ENERGY COMISSION KUNDIAN)MUTAUSEREEN AOUR DOOSRAY ELAQUN SEY TUALUQ RUKHTA HEY UNN KEY AOUR UNION COUNCIL KHOLA KEY MASAAIL KO UJAGER KERNA HEY. AOUR EN KEY HAL KEY LEEAY KOSHISH KERNA HEY. HAMARI UNION COUNCIL KHOLA MASAAIL KA GARRH HEY , JESA KEH EHLAY ELAQA KEY ELM MAIN HEY KEH HAM MUTAUSEREEN THAL DEVELOPMENT AUTHORITY (TDA CHAKOOK), THAL FOREST, D.B.CHAKOOK, CHASHMA BARRAGE , CHASHMA JEHLUM LINK CANAL, PAKISTAN ATOMIC ENERGY COMISSION (PAEC) AND ASLO GREATER THAL CANAL., HAIN. AOUR SUB SEY ZEADAH QURBANIAN (AFFECTED) DENAIN WALAY ELQAUN MAIN HAMARA SHUMAR SUB SEY PEHLAY NUMBER MAIN HEY. MAGGAR ES KAY NATEEJA (BADLA) MAIN HAMAIN KIA MILLA. ES KAY BADLA MAIN HAMAIN KOUNSI FACILITY DEE GAEE. BERAY MAZEY KI BAAT HEY KEH HAMARI ES UNION COUNCIL MAIN UNION COUNCIL KI BUILDING TAK NAHI, DISPENCRY TAK NAHI, POST OFFICE TAK NAHI, SADEOUN (CENTUREES) PER MUHEET ES ELAQA MAIN KOI HIGH SCHOOL (GIRL’S, BOY’S) TAK NAHI. ES TARAQI YAFTA DOUR MAIN AOUR ES TARAQI YAFTA ELAQA MAIN YEH WAHID (ALONE) UNION COUNCIL HEY JES MAIN KOI BHI TAREEF KERNAIN WALI SAHOOLAT (FACILITY) NAHI.
GAS PIPE LINE ES ELAQA KEY DERMEAN (MID) SE GUZZAR KER PAEC COLONY AOUR DERA HAZRAT KHAN MUHAMMAD SAHIB, KEY SAATH SAATH KUNDIAN , MIANWALI KO JA RAHEE HEY, MAGGAR HAM (YANI UNION COUNCIL KHOLA) ES SAHOOLAT SEY MAHROOM HEY.
GAWADER KE PROJECTS KEY LEEAY JOBS (NOKAREEON MAIN QUATA),DEVELOPMENTS FUNDS AOUR TRAINING INSTITUETS,MANGALA KEY MUTAUSEREEN KEY LEEAY PAANCH ARAB(FIVE ARABS) KEY SAATH SAATH FREE AIK CANAL KA PLOT AOUR JOBS QUATA,BAHSHA DAM WALON KEY LEEAY CHALEES ARABS(FORTY ARABS) AOUR JOBS QUATA KEY SAATH SAATH 2 PERCENT PROJECT KI LAGAT KEY BRABER FUNDS.AAEAY SUCHIAEY...........HUMARAY LEEAY KIA.....?
MINJANIB
MAPRA
Save
Cancel
Reply
 
x
OK