Nirankari
Posts  1 - 4  of  4
ranjeet567
DHAN NIRANKAR JI, MERA SAAWAL YE HAI KI agar satsang, sewa na mile to is bram gyan ka dhyan pakka kaise ho.
Save
Cancel
Reply
replied to:  ranjeet567
roh4864
Replied to:  DHAN NIRANKAR JI, MERA SAAWAL YE HAI KI agar satsang, sewa...
Jis prakar insaan roj subhah utkar nahata hai kyun ki din bhar ki mel sharir par lagi hoti hai thik ise prakar vichar kijiye ki chaurasi lakh youniyo ki mel utarne ke liye kitne satsang ki avshyakata hogi

rohit shukla

ahemdabad
Save
Cancel
Reply
replied to:  ranjeet567
priyankam
Replied to:  DHAN NIRANKAR JI, MERA SAAWAL YE HAI KI agar satsang, sewa...
Dhan nirankar Ji !!!

Parmatma ka dhyan pakka karne ke liye hi sadguru ne hame 3 karm diye hai- Satsang, Seva, simran ye tin karm hum nahi karenge to is duniya vi maya me hum is parmatma ko hi nahi bulki is sadguru ne diye huve bramhagyan ko bhi Bhul Jayenge
jaise ek example hai- ek yatri train mai safar kar raha hai jisake pas ticket nahi hai, bhale hi vo dusare yatriyon ki seva kar raha hai,dusaron ko bahut hasa raha hai,par jab TC aata hai or kehta hai Ticket dikhavo tab vo yatri kehta hai, ki maine train mai sab yatriyon ko hasaya,unki bahot seva kiyi..etc tab TC itna hi kahega ki mujhe sirf Ticket se kam hai, na hi in sab batonse....
isi prakar hamare jeevan mai Bramhagyan ka importance hai us Ticket ki tarah ..
- dusari vor vo yatri hai jisake pas Ticket to hai par vo logon ko tang kar raha hai,dusaron ke sit pe ja kar baith raha hai, dusaron ko bhala-bura keh raha hai,aise hal mai dusare yatri use kahenge ki kitna bura insan hai, agale station pe utare ga to bahot accha hoga...or vo yatri agar train ke Rule todega to use Jail bhi jana pad sakta hai..
Sirf apne bure karmon ke bavajud...

-isi prakar hum gyan to liye hai par hamare karm hamare Sadguru jaise chahate hai vaise hone chahiye....
or vo tab honge jab hum Satsang, Seva, Simran Se jude rahenge...hamesha is nirakar ke ehsas mai rahenge...
Save
Cancel
Reply
replied to:  priyankam
rajravi209
Replied to:  Dhan nirankar Ji !!! Parmatma ka dhyan pakka karne ke...
Dhan Nirankar ji

Wah ji Bilkul ji Aapji Bahut hi Khoobsurat Dhang Se Is Example k Jariye Samjhaya .

Datar aapko Hamesha Khush Rakhe Yhi Ardas hai .
Save
Cancel
Reply
 
x
OK